aahan ko bhi aaKHir zang lagta hai
irāda āhanī thā ye ki tum ko bhuul jā.eñge
tumhārā ḳhūb-rū paikar
khanakte qahqahe āvāz dilkash
zer-o-bam lahje kā vo zīrak nigāheñ
anā-parvar apollo ho koī maġhrūr yūnānī
vo āñkheñ be-ta.assur jo har ik jazba chhupā lene kī māhir thiiñ
bahut gambhīr ḳhāmoshī ko oḌhe
yuuñ ki jaise kurra-e-arzī pe koī devtā ġhalatī se aa jaa.e
magar merā vazīfa thā
faqat rāheñ tumhārī dekhte rahnā
tumheñ dekhā to ye jaanā
faqat ik shaḳhs kā ehsās kaise dil ke sahrā meñ
gul-e-lāla ke khil uThne kā zāmin hai
ye āñkheñ jugnūoñ kā diip āḳhir kaise bantī haiñ
shafaq gulgūñ kisī aariz pe kaise phail jaatī hai
ki dil kī dhaḌkaneñ kaise sabā-raftār hotī haiñ
vo har ik baat meñ tum se hī merā mashvara lenā
yuuñ jaise mamlikat meñ rabb-e-ka.aba kī
faqat tum hī davā saare maraz kī ho
yuuñ jaise rāh-gum-karda musāfir ke safar meñ rahnumā.ī ko qutub-tāra koī ubhre
kabhī mere savāloñ kī himāqat par
vo mub.ham muskurāhaT zer-e-lab jaise
shab-e-tārīk meñ bijlī koī
pal-bhar ko chhab apnī dikhā jaa.e
tumhārī ye karam-farmā.iyāñ ma.amūl thiiñ jin ko
mohabbat ke ufuq par jāvedāñ karne kī ḳhvāhish ik jasārat thī
ḳhatā sarzad huī ham se
irāda āhanī thā ye ki tum ko bhuul jā.eñge
magar ye bhuul baiThe ham
ki aahan ko bhī āḳhir zang lagtā hai
irada aahani tha ye ki tum ko bhul jaenge
tumhaara KHub-ru paikar
khanakte qahqahe aawaz dilkash
zer-o-bam lahje ka wo zirak nigahen
ana-parwar apollo ho koi maghrur yunani
wo aankhen be-tassur jo har ek jazba chhupa lene ki mahir thin
bahut gambhir KHamoshi ko oDhe
yun ki jaise kurra-e-arzi pe koi dewta ghalati se aa jae
magar mera wazifa tha
faqat rahen tumhaari dekhte rahna
tumhein dekha to ye jaana
faqat ek shaKHs ka ehsas kaise dil ke sahra mein
gul-e-lala ke khil uThne ka zamin hai
ye aankhen jugnuon ka dip aaKHir kaise banti hain
shafaq gulgun kisi aariz pe kaise phail jati hai
ki dil ki dhaDkanen kaise saba-raftar hoti hain
wo har ek baat mein tum se hi mera mashwara lena
yun jaise mamlikat mein rabb-e-kaba ki
faqat tum hi dawa sare maraz ki ho
yun jaise rah-gum-karda musafir ke safar mein rahnumai ko qutub-tara koi ubhre
kabhi mere sawalon ki himaqat par
wo mubham muskurahaT zer-e-lab jaise
shab-e-tarik mein bijli koi
pal-bhar ko chhab apni dikha jae
tumhaari ye karam-farmaiyan mamul thin jin ko
mohabbat ke ufuq par jawedan karne ki KHwahish ek jasarat thi
KHata sarzad hui hum se
irada aahani tha ye ki tum ko bhul jaenge
magar ye bhul baiThe hum
ki aahan ko bhi aaKHir zang lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.