aaina aur main
zamāne bhar meñ ā.īna sadāqat kī alāmat hai
magar meñ is kā munkir huuñ
bahut jhūTā hai ā.īna
kabhī vo dev-qāmat hastiyoñ ko ek dam baunā dikhātā hai
tilasmātī hai ā.īna
kabhī pasta-qadoñ kā qad bahut ūñchā dikhātā hai
bahut bahrūpiyā hai vo
koī farba ho to us ko bahut dublā dikhātā hai
bahut hī masḳhara hai vo
chalo jaane bhī do ki aa.ina insān kī fitrat meñ shāyad Dhal gayā hogā
magar kuchh sho.abda-bāzī kī had bhī hai
ye ā.īna to mujh se bhī hamesha makr kartā hai
jo merā haath ho sīdhā to vo ulTā dikhātā hai
agar ulTā dikhātā huuñ to phir sīdhā dikhātā hai
bahut jhūTā hai ā.īna
magar ā.īna-e-ayyām meñ takzīb-e-ā.īna kī haisiyyat bhalā kyā hai
ḳhudā jaane
magar tārīḳh kahtī hai
yahī takzīb-e-ā.īna, zamāne bhar ke shīshagar qabīle ke liye ḳhatrāt kā tasdīq-nāma hai
mirī tazrīb-e-paiham se ye ā.īnoñ ke saudāgar shikasta haiñ
shikasta kaifiyat meñ mujh se ye daryāft karte haiñ
ki āḳhir kaun ho tum jī
tumheñ in ā.inoñ se dushmanī kyuuñ hai
hamesha ā.inoñ kā muñh chiḌhāte ho, sadā taz.hīk karte ho
tum āḳhir chāhte kyā ho
to lo maiñ aaj ye elaan kartā huuñ
mire is ahd ke shīshagaro, saudāgaro sun lo!
suno, āgāh ho jaao
maiñ shā.er huuñ
maiñ ā.īne ko ā.īna dikhātā huuñ!
zamane bhar mein aaina sadaqat ki alamat hai
magar mein is ka munkir hun
bahut jhuTa hai aaina
kabhi wo dew-qamat hastiyon ko ek dam bauna dikhata hai
tilasmati hai aaina
kabhi pasta-qadon ka qad bahut uncha dikhata hai
bahut bahrupiya hai wo
koi farba ho to us ko bahut dubla dikhata hai
bahut hi masKHara hai wo
chalo jaane bhi do ki aaina insan ki fitrat mein shayad Dhal gaya hoga
magar kuchh shoabda-bazi ki had bhi hai
ye aaina to mujh se bhi hamesha makr karta hai
jo mera hath ho sidha to wo ulTa dikhata hai
agar ulTa dikhata hun to phir sidha dikhata hai
bahut jhuTa hai aaina
magar aaina-e-ayyam mein takzib-e-aina ki haisiyyat bhala kya hai
KHuda jaane
magar tariKH kahti hai
yahi takzib-e-aina, zamane bhar ke shishagar qabile ke liye KHatraat ka tasdiq-nama hai
meri tazrib-e-paiham se ye aainon ke saudagar shikasta hain
shikasta kaifiyat mein mujh se ye daryaft karte hain
ki aaKHir kaun ho tum ji
tumhein in aainon se dushmani kyun hai
hamesha aainon ka munh chiDhate ho, sada tazhik karte ho
tum aaKHir chahte kya ho
to lo main aaj ye elan karta hun
mere is ahd ke shishagaro, saudagaro sun lo!
suno, aagah ho jao
main shaer hun
main aaine ko aaina dikhata hun!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.