aaina-dar-aina
maiñ aaj savere jaag uThā
dekhā ki hai har-sū sannāTā
chup-chāp hai saarā ghar āñgan
bāhar se band hai darvāza
sab bhaa.ī bahan biivī bachche
āḳhir haiñ kahāñ hai kyā qissa
itne meñ ajab ik baat huī
nāgāh jo dekhā ā.īna
ik aadmī mujh ko aayā nazar
mujh se hī magar miltā-jultā
do siiñg haiñ us ke sar pe uge
ye dev hai koī yā devtā
tum kaun ho ye pūchhā maiñ ne
par koī na mujh ko javāb milā
maiñ kaañp uThā thar thar thar thar
sochā ki karūñ jhuk kar sajda
itne meñ huī ik aahaT sī
maiñ sun ke yakāyak chauñk uThā
ab der huī uThiye paapā
haañ mujh ko daftar jaanā hai
us ḳhvāb kā lekin kyā hogā
main aaj sawere jag uTha
dekha ki hai har-su sannaTa
chup-chap hai sara ghar aangan
bahar se band hai darwaza
sab bhai bahan biwi bachche
aaKHir hain kahan hai kya qissa
itne mein ajab ek baat hui
nagah jo dekha aaina
ek aadmi mujh ko aaya nazar
mujh se hi magar milta-julta
do sing hain us ke sar pe uge
ye dew hai koi ya dewta
tum kaun ho ye puchha main ne
par koi na mujh ko jawab mila
main kanp uTha thar thar thar thar
socha ki karun jhuk kar sajda
itne mein hui ek aahaT si
main sun ke yakayak chaunk uTha
ab der hui uThiye papa
han mujh ko daftar jaana hai
us KHwab ka lekin kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.