aaina dekhta hun
maiñ jab kabhī
do ghaḌī
ġhaur se ā.īna dekhtā huuñ
to maazī ke
uljhe hue roz o shab
kī shanāsā lakīroñ
meñ dhundlī tasāvīr
māhaul se be-ḳhabar boltī haiñ
ki jaise kisī ajnabī shaḳhs kī
zindagī kī hasīñ sā.atoñ
dil-rubā hasratoñ
aur
umañgoñ ke koh-e-nidā ke
tilismāt-e-ḳhufta ke dar kholtī haiñ
meñ hairān sā
der tak sochtā huuñ
maiñ apne sarāpā ke miTte nishānāt ko
haal ke zā.ichoñ se
judā jāntā huuñ
mujhe vaqt kī tez raftār se
jism kī haar se
ḳhauf aatā hai
phir bhī
ghaḌī do ghaḌī ke liye
ā.īna dekhtā huuñ
main jab kabhi
do ghaDi
ghaur se aaina dekhta hun
to mazi ke
uljhe hue roz o shab
ki shanasa lakiron
mein dhundli tasawir
mahaul se be-KHabar bolti hain
ki jaise kisi ajnabi shaKHs ki
zindagi ki hasin saaton
dil-ruba hasraton
aur
umangon ke koh-e-nida ke
tilismat-e-KHufta ke dar kholti hain
mein hairan sa
der tak sochta hun
main apne sarapa ke miTte nishanat ko
haal ke zaichon se
juda jaanta hun
mujhe waqt ki tez raftar se
jism ki haar se
KHauf aata hai
phir bhi
ghaDi do ghaDi ke liye
aaina dekhta hun
- Book : ajnabii musamo.n ki khushboo (Pg. 39)
- Author : akhtar ziyaa.ii
- Publication : zaahid bashiir printer lahore (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.