aaina dekhte ho
is ke ādāb to pahle sīkho
ḳhaak meñ ḳhūn-e-rag-e-jāñ to
milā kar dekho
aañkh dariyā to banā kar dekho
shaam kī ThanDī havā rāstoñ ko degī bose
ḳhvāb ā.ankhoñ meñ samundar kā utar aa.egā
rañg meñ rañg mileñge
giit phir chheḌeñge dariyā ke kināre ashjār
ā.īna dekhte ho
sat.h-e-dariyā pe jahāñ kaa.ī bane ā.īna
chāñdnī jhiil kī lahroñ pe bane ā.īna
ashk ā.ankhoñ se gire aur bane ā.īna
sārbānoñ ke qadam chūmte jo dasht bane ā.īna
ātish-e-ġham se jale dil to bane ā.īna
aañkh se saaf karo gard
nazar tez karo
ḳhaak meñ ḳhvāb milāo
use mahmez karo
is ke aadab to pahle sikho
KHak mein KHun-e-rag-e-jaan to
mila kar dekho
aankh dariya to bana kar dekho
sham ki ThanDi hawa raston ko degi bose
KHwab aaankhon mein samundar ka utar aaega
rang mein rang milenge
git phir chheDenge dariya ke kinare ashjar
aaina dekhte ho
sath-e-dariya pe jahan kai bane aaina
chandni jhil ki lahron pe bane aaina
ashk aaankhon se gire aur bane aaina
sarbanon ke qadam chumte jo dasht bane aaina
aatish-e-gham se jale dil to bane aaina
aankh se saf karo gard
nazar tez karo
KHak mein KHwab milao
use mahmez karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.