aaina
maiñ ne ik sapnā dekhā hai
raat kā sūraj apnī kaalī zulfeñ khole jaag rahā hai
shahr meñ sannāTā pasrā hai
chāñd kī ujlī chādar taane maiñ apne ghar meñ soyā huuñ
itne meñ ik shor hai uThtā
shab-ḳhūñ maarā shab-ḳhūñ maarā
dekho shaitāñ phir aa nikle
maiñ ne bhī sab apnī matā-e-zohd-o-taqvā sabr-o-qanā.at
aur a.amāl kī sonā chāñdī
ik ik kar ke ghar meñ dekhī
vo sab apnī jā pe nahīñ thiiñ
itne meñ ik shaḳhs ko dekhā
mere madd-e-muqābil thā vo
kamre meñ ye kaise aayā
soch ke jab hairān huā to
baḌh kar us ko chhūnā chāhā
lekin ye to ā.īna thā
main ne ek sapna dekha hai
raat ka suraj apni kali zulfen khole jag raha hai
shahr mein sannaTa pasra hai
chand ki ujli chadar tane main apne ghar mein soya hun
itne mein ek shor hai uThta
shab-KHun mara shab-KHun mara
dekho shaitan phir aa nikle
main ne bhi sab apni mata-e-zohd-o-taqwa sabr-o-qanaat
aur aamal ki sona chandi
ek ek kar ke ghar mein dekhi
wo sab apni ja pe nahin thin
itne mein ek shaKHs ko dekha
mere madd-e-muqabil tha wo
kamre mein ye kaise aaya
soch ke jab hairan hua to
baDh kar us ko chhuna chaha
lekin ye to aaina tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.