aaina pesh aaina
ek vijdān ke bargad ke ghane peḌ tale
ek pal muuñd ke āñkheñ jo sameTā ḳhud ko
dāman-e-vaqt kī mānind vo pal phail gayā
jism aur jaan zamāñ aur makāñ ek hue
ḳhud chamakne lagā tārīk hijāb
saat rañgoñ meñ vo tārīkī baTī
aur un rañgoñ ke dariyāoñ se
zohra nāhīd surayyā ke mazāmīr kā naġhma uThā
be-karāñ nuur meñ ghul-mil ga.e sātoñ dariyā
tezī aisī ki hazāroñ ḳhurshīd
ThanDak aisī ki hazāroñ mahtāb
be-karāñ nuur kī tah meñ jab utar kar khulīñ merī āñkheñ
tere āġhosh meñ rakhe hue meñ sar nazar aayā ḳhud ko
be-karāñ nuur tirī āñkhoñ meñ paayā maiñ ne
aur is nuur kī tah meñ ḳhud ko
ek wijdan ke bargad ke ghane peD tale
ek pal mund ke aankhen jo sameTa KHud ko
daman-e-waqt ki manind wo pal phail gaya
jism aur jaan zaman aur makan ek hue
KHud chamakne laga tarik hijab
sat rangon mein wo tariki baTi
aur un rangon ke dariyaon se
zohra nahid surayya ke mazamir ka naghma uTha
be-karan nur mein ghul-mil gae saton dariya
tezi aisi ki hazaron KHurshid
ThanDak aisi ki hazaron mahtab
be-karan nur ki tah mein jab utar kar khulin meri aankhen
tere aaghosh mein rakhe hue mein sar nazar aaya KHud ko
be-karan nur teri aankhon mein paya main ne
aur is nur ki tah mein KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.