aaina TuT gaya
ham ne
chāhā thā dikhānā kisī unvāñ lekin
aa.ina
TuuT gayā sang-zanoñ ke hāthoñ
chaḌhte sūraj kī tapish
aag kā dariyā jaise
phuul
murjhā.e hue
bikhre paḌe haiñ har-sū
bād-e-sarsar ke thapeḌoñ se gire hoñ jaise
har taraf sehn-e-chaman meñ hai
udāsī chhā.ī
daam
gulchīñ ke har ik samt bichhe hoñ jaise
chiil
kavvoñ ke havāle se patā chaltā hai
murda jismoñ kī mahak gor-e-ġharībāñ kā samāñ
qarya qarya
mujhe āseb-zada lagtā hai
koī saaya hai
ki rah rah ke sadā detā hai
kushta-e-zulm hai
ye āh-o-bukā kartā hai
nit-na.e rang se
har roz sitam sahtā hai
bastiyāñ
shahr-e-ḳhamoshāñ kā patā detī haiñ
shahr-e-mazlūm ko
ashkoñ se duā detī haiñ
shahr jaltā hī rahā yūñhī
to phir ḳhair nahīñ
ūñche mahloñ ko bhī
ye aag jalā Dālegī
qaisar-e-vaqt ko
qallāsh banā Dālegī
hai koī sham.a añdhere meñ
jalāne vaalā
maut ko
apne kaleje se lagāne vaalā
ham hī
tanhā haiñ sar-e-dār uThā.e sar ko
koī monis
na koī hamdam-o-nigarāñ apnā
vahshat-e-shauq meñ hai
chāk-garebāñ apnā
har qadam saath jahāñ vaqt kī sachchā.ī hai
haq-parastoñ kī ḳhudā-dād pazīrā.ī hai
zulmat-e-shab kī
siyāhī bhī utar jā.egī
jalva-e-sub.h se
har chiiz nikhar jā.egī
ham ne
chāhā thā dikhānā kisī unvāñ lekin
aa.ina
TuuT gayā sang-zanoñ ke hāthoñ
hum ne
chaha tha dikhana kisi unwan lekin
aaina
TuT gaya sang-zanon ke hathon
chaDhte suraj ki tapish
aag ka dariya jaise
phul
murjhae hue
bikhre paDe hain har-su
baad-e-sarsar ke thapeDon se gire hon jaise
har taraf sehn-e-chaman mein hai
udasi chhai
dam
gulchin ke har ek samt bichhe hon jaise
chil
kawwon ke hawale se pata chalta hai
murda jismon ki mahak gor-e-ghariban ka saman
qarya qarya
mujhe aaseb-zada lagta hai
koi saya hai
ki rah rah ke sada deta hai
kushta-e-zulm hai
ye aah-o-buka karta hai
nit-nae rang se
har roz sitam sahta hai
bastiyan
shahr-e-KHamoshan ka pata deti hain
shahr-e-mazlum ko
ashkon se dua deti hain
shahr jalta hi raha yunhi
to phir KHair nahin
unche mahlon ko bhi
ye aag jala Dalegi
qaisar-e-waqt ko
qallash bana Dalegi
hai koi shama andhere mein
jalane wala
maut ko
apne kaleje se lagane wala
hum hi
tanha hain sar-e-dar uThae sar ko
koi monis
na koi hamdam-o-nigaran apna
wahshat-e-shauq mein hai
chaak-gareban apna
har qadam sath jahan waqt ki sachchai hai
haq-paraston ki KHuda-dad pazirai hai
zulmat-e-shab ki
siyahi bhi utar jaegi
jalwa-e-subh se
har chiz nikhar jaegi
hum ne
chaha tha dikhana kisi unwan lekin
aaina
TuT gaya sang-zanon ke hathon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.