daf.atan yūñhī ik din
ā.īne meñ ḳham aayā
is tarah vo baurāyā
merī ḳhushnumā sūrat
ḳhuuñ se ho ga.ī lat-pat
paine kāñch ke TukḌe
har taraf chhiTakne lage
ek TukḌā āvāra
jaane kaise jā pahuñchā
yaad kī savārī par
bhūle-bisre maazī par
bijlī kī tarah chamkā
jab vo jā ke Takrāyā
gum-shuda ik patthar se
uTh ga.e bavanDar se
ek dam ye yaad aayā
maiñ ne hī uchhālā thaa!
is anā ke patthar ko
dāġh-e-dil ke nashtar ko
vo hī lauT kar aayā
aa.ine se Takrāyā
daf.atan yūñhī ik din!
dafatan yunhi ek din
aaine mein KHam aaya
is tarah wo bauraya
meri KHushnuma surat
KHun se ho gai lat-pat
paine kanch ke TukDe
har taraf chhiTakne lage
ek TukDa aawara
jaane kaise ja pahuncha
yaad ki sawari par
bhule-bisre mazi par
bijli ki tarah chamka
jab wo ja ke Takraya
gum-shuda ek patthar se
uTh gae bawanDar se
ek dam ye yaad aaya
main ne hi uchhaala tha!
is ana ke patthar ko
dagh-e-dil ke nashtar ko
wo hi lauT kar aaya
aaine se Takraya
dafatan yunhi ek din!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.