aaine
aur phir
raat kī bisāt ulaT ga.ī
musāfiroñ ne ek saal ke
purāne chehre pheñk kar
na.e lagā liye
kitne ḳhush-nasīb haiñ jin ke paas
koī aa.ina nahīñ
jin ke paas
vaqt sirf vaqt hai
koī silsila nahīñ
bhalā nahīñ burā nahīñ
kitne ḳhush-nasīb haiñ
ek saal meñ
sab badal ga.e
zamīñ kī kokh tuḳhm-reziyoñ kī muntazir hai
pichhlī fasl kaT ga.ī
raat kī bisāt ulaT ga.ī
'salīm' ik azal kī chīḳh
raat kī bisāt ulaT ga.ī
chalo sameT leñ
jhilmilāte aks par nishāñ shabāhateñ
buuñd ashk kī
chashm-e-mehrbāñ se buuñd ek ashk kī
varna roz-e-hashr
apne apne marqadoñ se
kis tarah uThā.e jā.eñge
kaisā sāneha apne aap se
kis qadar alag haiñ ham
kaisā sāneha hai ye
kaisā sāneha hai ye
sard raat
khiḌkiyoñ meñ sard tīrgī
tīrgī ke aa.ine tale
ik fazā-e-lā-makāñ
amiiq kis qadar amiiq
basīt kis qadar basīt
merī dast meñ se duur
merī ruuh par muhīt
shajar shajar meñ dasht-o-koh meñ ravāñ-davāñ
hamāre jism kā lahū
ek sail
sail-e-be-karāñ
musāfiroñ kī bhiiḌ se alag
mujh se be-ḳhabar
tum se be-niyāz
hamāre aks-e-be-hijāb
daur daur pur-fishāñ
un kī apnī zindagī
un ke ḳhvāb
ik kiran kī chhūT se
sabz surḳh nīlgūñ banafsha.ī
kitne rañg kaise kaise naqsh-e-nā-tamām
jumbish-e-nigāh se bane
jumbish-e-nigāh se pighal ga.e
aur phir
raat ki bisat ulaT gai
musafiron ne ek sal ke
purane chehre phenk kar
nae laga liye
kitne KHush-nasib hain jin ke pas
koi aaina nahin
jin ke pas
waqt sirf waqt hai
koi silsila nahin
bhala nahin bura nahin
kitne KHush-nasib hain
ek sal mein
sab badal gae
zamin ki kokh tuKHm-reziyon ki muntazir hai
pichhli fasl kaT gai
raat ki bisat ulaT gai
'salim' ek azal ki chiKH
raat ki bisat ulaT gai
chalo sameT len
jhilmilate aks par nishan shabahaten
bund ashk ki
chashm-e-mehrban se bund ek ashk ki
warna roz-e-hashr
apne apne marqadon se
kis tarah uThae jaenge
kaisa saneha apne aap se
kis qadar alag hain hum
kaisa saneha hai ye
kaisa saneha hai ye
sard raat
khiDkiyon mein sard tirgi
tirgi ke aaine tale
ek faza-e-la-makan
amiq kis qadar amiq
basit kis qadar basit
meri dast mein se dur
meri ruh par muhit
shajar shajar mein dasht-o-koh mein rawan-dawan
hamare jism ka lahu
ek sail
sail-e-be-karan
musafiron ki bhiD se alag
mujh se be-KHabar
tum se be-niyaz
hamare aks-e-be-hijab
daur daur pur-fishan
un ki apni zindagi
un ke KHwab
ek kiran ki chhuT se
sabz surKH nilgun banafshai
kitne rang kaise kaise naqsh-e-na-tamam
jumbish-e-nigah se bane
jumbish-e-nigah se pighal gae
- Book : shab khuun (8) (rekhta website) (Pg. 14)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.