aaine se jhankti be-chehragi
ā.īna
chehroñ kā jahāñ hairat
magar vo mujhe merā chehra dene se qāsir
hairat-zada ho kar
maiñ ne bārhā ā.īne meñ jhāñkā
kitne hī ā.īne badal Daale
har ek se apnā chehra māñgā
ā.īne par
apne gum-shuda chehre kī ka.ī nishāniyāñ tak ibārat kar Dālīñ
lekin maiñ kahīñ maujūd nahīñ thā
shāyad maiñ ā.īne se gum ho gayā thā
aur vo mujhe be-chehragī kī sazā sunā chukā thā
sazā ke is silsile kā
inhirāf kar kar ke maiñ ne apne andar jhāñkā
to hairāngī mujh se lipaT paḌī
merā chehra mere andar
un ālūda lamhoñ kī qaid meñ thā
jin kā shikār ho kar maiñ ne kabhī ā.īne ko dhundlā kiyā thā
aaina
chehron ka jahan hairat
magar wo mujhe mera chehra dene se qasir
hairat-zada ho kar
main ne barha aaine mein jhanka
kitne hi aaine badal Dale
har ek se apna chehra manga
aaine par
apne gum-shuda chehre ki kai nishaniyan tak ibarat kar Dalin
lekin main kahin maujud nahin tha
shayad main aaine se gum ho gaya tha
aur wo mujhe be-chehragi ki saza suna chuka tha
saza ke is silsile ka
inhiraf kar kar ke main ne apne andar jhanka
to hairangi mujh se lipaT paDi
mera chehra mere andar
un aaluda lamhon ki qaid mein tha
jin ka shikar ho kar main ne kabhi aaine ko dhundla kiya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.