aaindagan ki udasi mein
jab duniyā mere dukh baTāne aa.ī
mere saare dukh churā liye ga.e the
bharī bahār meñ mere āñsuoñ ke biij jalā.e ga.e haiñ
aaj der ba.ad na.ī mohabbat ko mansūḳh kar ke
pahlī tanhā.ī se lipaT kar sonā achchhā lagā hai
ā.indagāñ kī udāsī lapeT kar
ek purānī mohabbat kā pursā vasūl karte hue bhī
dil nahīñ bharā
jazboñ kī katar-biyūñt aur ḳhālī lafzoñ meñ dukhoñ ke paivand lagāte
thak gayā huuñ
isī udheḌ-bun meñ
ḳhud ko saiñt saiñt kar rakhte hue
apne pairahan meñ
ek ḳhvāb tak sustāne kī fursat nahīñ
so na.e dukh kamāne kī ujlat meñ
tumhārā svāgat hai dost!!!
jab duniya mere dukh baTane aai
mere sare dukh chura liye gae the
bhari bahaar mein mere aansuon ke bij jalae gae hain
aaj der baad nai mohabbat ko mansuKH kar ke
pahli tanhai se lipaT kar sona achchha laga hai
aaindagan ki udasi lapeT kar
ek purani mohabbat ka pursa wasul karte hue bhi
dil nahin bhara
jazbon ki katar-biyunt aur KHali lafzon mein dukhon ke paiwand lagate
thak gaya hun
isi udheD-bun mein
KHud ko saint saint kar rakhte hue
apne pairahan mein
ek KHwab tak sustane ki fursat nahin
so nae dukh kamane ki ujlat mein
tumhaara swagat hai dost!!!
- Book : Aik Qadeem Khayal Ki Nigrani Mein (Pg. 62)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.