aaj aur kal
jab chhalakte haiñ zar-o-sīm ke gaate hue jaam
ek zahrāb sā māhaul meñ ghul jaatā hai
kaañp uThtā hai tahī-dast javānoñ kā ġhurūr
husn jab resham-o-kam-ḳhvāb meñ tal jaatā hai
maiñ ne dekhā hai ki aflās ke sahrāoñ meñ
qāfile azmat-e-ehsās ke ruk jaate haiñ
bekasī garm nigāhoñ ko jhulas detī hai
dil kisī sho.ala-e-zartāb se phuk jaate haiñ
jin usūloñ se ibārat hai mohabbat kī asaas
un usūloñ ko yahāñ toḌ diyā jaatā hai
apnī sahmī huī manzil ke tahaffuz ke liye
rahguzāroñ meñ dhuāñ chhoḌ diyā jaatā hai
maiñ ne jo raaz zamāne se chhupānā chāhā!
tū ne āfāq pe us raaz kā dar khol diyā
merī bāñhoñ ne jo dekhe the sunahre sapne
tū ne sone kī tarāzū meñ unheñ tol diyā
aaj aflās ne khaa.ī hai zar-o-sīm se maat
is meñ lekin tire chilloñ kā koī dosh nahīñ
ye taġhayyur usī māhaul kā parvarda hai
apnī be-rañg tabāhī kā jise hosh nahīñ
rahguzāroñ ke dhundalke to zarā chhaT jaa.eñ
apne talvoñ se ye kāñTe bhī nikal jā.eñge
aaj aur kal kī masāfat ko zarā tai kar leñ
vaqt ke saath irāde bhī badal jā.eñge
jab chhalakte hain zar-o-sim ke gate hue jam
ek zahrab sa mahaul mein ghul jata hai
kanp uThta hai tahi-dast jawanon ka ghurur
husn jab resham-o-kam-KHwab mein tal jata hai
main ne dekha hai ki aflas ke sahraon mein
qafile azmat-e-ehsas ke ruk jate hain
bekasi garm nigahon ko jhulas deti hai
dil kisi shoala-e-zartab se phuk jate hain
jin usulon se ibarat hai mohabbat ki asas
un usulon ko yahan toD diya jata hai
apni sahmi hui manzil ke tahaffuz ke liye
rahguzaron mein dhuan chhoD diya jata hai
main ne jo raaz zamane se chhupana chaha!
tu ne aafaq pe us raaz ka dar khol diya
meri banhon ne jo dekhe the sunahre sapne
tu ne sone ki taraazu mein unhen tol diya
aaj aflas ne khai hai zar-o-sim se mat
is mein lekin tere chillon ka koi dosh nahin
ye taghayyur usi mahaul ka parwarda hai
apni be-rang tabahi ka jise hosh nahin
rahguzaron ke dhundalke to zara chhaT jaen
apne talwon se ye kanTe bhi nikal jaenge
aaj aur kal ki masafat ko zara tai kar len
waqt ke sath irade bhi badal jaenge
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.