aaj chali hai hawa
aaj chalī hai havā
muddatoñ ke ba.ad
hayāt se ta.alluq thā jis kā
har vo shai taras ga.ī
ki gosh ko tanaffus kī
sargam nasīb ho
sunā.ī de sarsarātī sī ek āvāz
koī sargoshī koī dastak ban kar
aatī jaatī jo mere qarīb ho
dast-e-māzī se joḌ apne baazū
yād-e-ayyām ke āġhosh meñ
gum-gashta dīda-e-tar chal paḌā
hai ek talāsh meñ
yā to āñkhoñ kī namī se chhuTkārā mile
yā phir dil kī umīdeñ bar aa.eñ
lekin ye kyā ki
is nā-murād khoj meñ
āñkheñ dar-ba-dar bhaTaktī huī
ḳhālī haath lauT kar
thakī-hārī ghar aa.eñ
tabhī chalne lagī havā mere baaġh meñ
daraḳhtoñ ke patte larazne lage
guloñ ke hasīñ laboñ par
tabassum ugā
aur ek nannhī sī lau jagī charāġh meñ
khulī havā meñ saañs lene kī ḳhvāhish
dil-e-nā-sāz meñ armāñ jagā ga.ī
ghuTan se tañg aa kar maiñ ne
phir kholī jo zanjīr-e-dar
kambaḳht havā kī sozish
chashm-e-nam sukhā ga.ī
aur charāġhoñ par raqs karte
sharāroñ ko bujhā ga.ī
aaj chali hai hawa
muddaton ke baad
hayat se talluq tha jis ka
har wo shai taras gai
ki gosh ko tanaffus ki
sargam nasib ho
sunai de sarsaraati si ek aawaz
koi sargoshi koi dastak ban kar
aati jati jo mere qarib ho
dast-e-mazi se joD apne bazu
yaad-e-ayyam ke aaghosh mein
gum-gashta dida-e-tar chal paDa
hai ek talash mein
ya to aankhon ki nami se chhuTkara mile
ya phir dil ki umiden bar aaen
lekin ye kya ki
is na-murad khoj mein
aankhen dar-ba-dar bhaTakti hui
KHali hath lauT kar
thaki-haari ghar aaen
tabhi chalne lagi hawa mere bagh mein
daraKHton ke patte larazne lage
gulon ke hasin labon par
tabassum uga
aur ek nannhi si lau jagi charagh mein
khuli hawa mein sans lene ki KHwahish
dil-e-na-saz mein arman jaga gai
ghuTan se tang aa kar main ne
phir kholi jo zanjir-e-dar
kambaKHt hawa ki sozish
chashm-e-nam sukha gai
aur charaghon par raqs karte
shararon ko bujha gai
- Book : Khwaahish-e-Parwaaz Urge to Fly (Pg. 55)
- Author : Aditya Pant Naaqid
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.