aaj-kal
har tamanna merī un kā mudda.ā hai āj-kal
zindagī hī zindagī kā aasrā hai āj-kal
zauq-e-ulfat be-niyāz-e-mā-sivā hai āj-kal
mujh ko un se un ko mujh se vāsta hai āj-kal
intihā-e-qurb-o-rabt-e-bāhamī ke bāvajūd
siine meñ dhaḌkan sī dil meñ dard sā hai āj-kal
yuuñ to aisā iztirāb aisī ḳhalish pahle bhī thī
lekin is aalam meñ ik turfa mazā hai āj-kal
ho rahā hai chashm-e-ḳhud-bīñ ko bhī irfān-e-junūñ
ḳhush-nigāhī meñ izāfa ho rahā hai āj-kal
apnī apnī had meñ chashm-o-dil kī mahviyyat na pūchh
zāhir-o-bātin kā jalva aa.ina hai āj-kal
imtiyāz-e-tālib-o-matlūb tak baaqī nahīñ
gardish-e-daurāñ se ye lamha judā hai āj-kal
kaash umr-e-rafta kī tārīḳh bhī palTe varaq
dil-navāzī sheva-e-ahl-e-jafā hai āj-kal
dil to do haiñ lekin ik zanjīr meñ jakḌe hue
husn bhī minjumla-e-ahl-e-vafā hai āj-kal
aql-o-dānish hai alag idrāk kī had se judā
shauq kī duniyā kā aalam dūsrā hai āj-kal
husn-o-ulfat donoñ ik manzil meñ aa kar kho ga.e
kyā ḳhabar hai kaun kis kā rahnumā hai āj-kal
is kā ai 'naḳhshab' ta'alluq hai latīf ehsās se
har kisī ko kyā ḳhabar kaisī fazā hai āj-kal
har tamanna meri un ka muddaa hai aaj-kal
zindagi hi zindagi ka aasra hai aaj-kal
zauq-e-ulfat be-niyaz-e-ma-siwa hai aaj-kal
mujh ko un se un ko mujh se wasta hai aaj-kal
intiha-e-qurb-o-rabt-e-bahami ke bawajud
sine mein dhaDkan si dil mein dard sa hai aaj-kal
yun to aisa iztirab aisi KHalish pahle bhi thi
lekin is aalam mein ek turfa maza hai aaj-kal
ho raha hai chashm-e-KHud-bin ko bhi irfan-e-junun
KHush-nigahi mein izafa ho raha hai aaj-kal
apni apni had mein chashm-o-dil ki mahwiyyat na puchh
zahir-o-baatin ka jalwa aaina hai aaj-kal
imtiyaz-e-talib-o-matlub tak baqi nahin
gardish-e-dauran se ye lamha juda hai aaj-kal
kash umr-e-rafta ki tariKH bhi palTe waraq
dil-nawazi shewa-e-ahl-e-jafa hai aaj-kal
dil to do hain lekin ek zanjir mein jakDe hue
husn bhi minjumla-e-ahl-e-wafa hai aaj-kal
aql-o-danish hai alag idrak ki had se juda
shauq ki duniya ka aalam dusra hai aaj-kal
husn-o-ulfat donon ek manzil mein aa kar kho gae
kya KHabar hai kaun kis ka rahnuma hai aaj-kal
is ka ai 'naKHshab' ta'alluq hai latif ehsas se
har kisi ko kya KHabar kaisi faza hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.