aaj-kal
harf-e-haq dil se zabāñ tak lā rahā huuñ āj-kal
qissa-e-dār-o-rasan dohrā rahā huuñ āj-kal
halqa-e-zulf-e-sanam kī tīrgī se duur huuñ
zindagī ke pech-o-ḳham suljhā rahā huuñ āj-kal
shāḳh-e-gul par ab na pāoge mujhe tum naġhma-ḳhvāñ
āñdhiyoñ ke pālne meñ gā rahā huuñ āj-kal
ho rahegī qa.ar-e-dariyā kī haqīqat āshkār
mauj-o-tūfāñ ke thapeḌe khā rahā huuñ āj-kal
apnī duniyā-e-tag-o-dau apnī kisht-e-zīst par
abr-e-rahmat ban ke maiñ ḳhud chhā rahā huuñ āj-kal
mere jabr-o-qahr kī hamd-o-sanā ke baa'd ab
apne istiqlāl ke gun gā rahā huuñ āj-kal
vādī-e-ishq-o-junūñ meñ rah-ravān-e-shauq ko
ma.anī-e-harf-e-vafā samjhā rahā huuñ āj-kal
taaki anvār-e-suḳhan se jagmagā jaa.e jahāñ
sham.a kī mānind jaltā jā rahā huuñ āj-kal
ab ki yārān-e-vatan kī diid kā imkāñ nahīñ
'ashk' ġhurbat meñ sukūñ sā pā rahā huuñ āj-kal
harf-e-haq dil se zaban tak la raha hun aaj-kal
qissa-e-dar-o-rasan dohra raha hun aaj-kal
halqa-e-zulf-e-sanam ki tirgi se dur hun
zindagi ke pech-o-KHam suljha raha hun aaj-kal
shaKH-e-gul par ab na paoge mujhe tum naghma-KHwan
aandhiyon ke palne mein ga raha hun aaj-kal
ho rahegi qar-e-dariya ki haqiqat aashkar
mauj-o-tufan ke thapeDe kha raha hun aaj-kal
apni duniya-e-tag-o-dau apni kisht-e-zist par
abr-e-rahmat ban ke main KHud chha raha hun aaj-kal
mere jabr-o-qahr ki hamd-o-sana ke ba'd ab
apne istiqlal ke gun ga raha hun aaj-kal
wadi-e-ishq-o-junun mein rah-rawan-e-shauq ko
mani-e-harf-e-wafa samjha raha hun aaj-kal
taki anwar-e-suKHan se jagmaga jae jahan
shama ki manind jalta ja raha hun aaj-kal
ab ki yaran-e-watan ki did ka imkan nahin
'ashk' ghurbat mein sukun sa pa raha hun aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.