aaj ke munafiq
diloñ meñ kufr laboñ par himāyat-e-islām
chhurī baġhal meñ dabā.e hue haiñ muñh par raam
mukālima hai junūñ se to aql se bhī kalām
laboñ pe nāra-e-tahsīn zehn meñ dushnām
ye ḳhvāhishoñ ke pujārī ye maslahat ke ġhulām
fareb-o-makr ke qisse munāfiqat ke naam
kahīñ ba-nām-e-ḳhushāmad ye bik ga.e be-dām
kahīñ pe bolī thī ūñchī to ho ga.e nīlām
bahisht meñ bhī talab huur kā mile in.aam
zamīn par bhī murā.āt ke luTā.eñ jaam
har ik sadā pe hoñ hāzir har ek ke ḳhuddām
ġharaz ke bande mafādāt ke asīr-e-davām
ye bhejte haiñ faqat aaj ke liye paiġhām
jo fikr-e-fardā se kuchh hai inheñ to bas ye kaam
ho ḳhair-o-shar kī laḌā.ī kā jaane kyā anjām
na-jāne kis ko mile jiit kaun ho nākām
banī rahe jo sabhī se banā rahegā kaam
yazīd se bhī ta.alluq husain ko bhī salām
dilon mein kufr labon par himayat-e-islam
chhuri baghal mein dabae hue hain munh par ram
mukalima hai junun se to aql se bhi kalam
labon pe nara-e-tahsin zehn mein dushnam
ye KHwahishon ke pujari ye maslahat ke ghulam
fareb-o-makr ke qisse munafiqat ke nam
kahin ba-nam-e-KHushamad ye bik gae be-dam
kahin pe boli thi unchi to ho gae nilam
bahisht mein bhi talab hur ka mile inam
zamin par bhi muraat ke luTaen jam
har ek sada pe hon hazir har ek ke KHuddam
gharaz ke bande mafadat ke asir-e-dawam
ye bhejte hain faqat aaj ke liye paigham
jo fikr-e-farda se kuchh hai inhen to bas ye kaam
ho KHair-o-shar ki laDai ka jaane kya anjam
na-jaane kis ko mile jit kaun ho nakaam
bani rahe jo sabhi se bana rahega kaam
yazid se bhi talluq husain ko bhi salam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.