aaj ki raat
aaj kī raat
kuchh yuuñ guzrī
jaise ākāsh se
TuuT kar taare ḳhalā meñ suhānī vādiyoñ meñ
jab aa jaatā hai
ḳhaufnāk zalzala
aur
phailtā hai sikuḌtā hai
nadī kā kinārā
kuchh vaise hī
aaj kī raat guzrī hai
aaj kī raat
chubhā hai koī kāñTā
phūloñ ke bharam meñ
aur
simaTtī aa.ī hai
kohre kī siyāh chādar
nigalne ko
ujāle kā vajūd
pañkh phaḌphaḌāyā hai
koī be-samt parinda
bhuul kar
basere kā nishāñ jaise
kuchh vaise hī
aaj kī raat guzrī hai
aaj ki raat
kuchh yun guzri
jaise aakash se
TuT kar tare KHala mein suhani wadiyon mein
jab aa jata hai
KHaufnak zalzala
aur
phailta hai sikuDta hai
nadi ka kinara
kuchh waise hi
aaj ki raat guzri hai
aaj ki raat
chubha hai koi kanTa
phulon ke bharam mein
aur
simaTti aai hai
kohre ki siyah chadar
nigalne ko
ujale ka wajud
pankh phaDphaDaya hai
koi be-samt parinda
bhul kar
basere ka nishan jaise
kuchh waise hi
aaj ki raat guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.