aaj ki raat
chāñdnī raat hai javānī par
dast-e-gardūñ meñ sāġhar-e-mahtāb
nuur ban ban ke chhan rahī hai sharāb
sāqī-e-āsmāñ piyāla-ba-dast
maiñ sharāb-e-surūr se sarmast
fikr-e-dozaḳh na zikr-e-jannat hai
maiñ huuñ aur terī pyārī sūrat hai
ras-bhare hoñT mad-bharī āñkheñ!
kaun fardā pe e'tibār kare
kaun jannat kā intizār kare
jaane kab maut kā payām aa.e
ye masarrat bhī ham se chhin jaa.e
dāman-e-aql chaak hone de
aaj ye qissa paak hone de
ġham ko nā-pā.edār kar deñ ham
maut ko sharmsār kar deñ ham
lab se lab yuuñ mileñ ki kho jaa.eñ
jazb ik dūsre meñ ho jaa.eñ
maiñ rahūñ aur na tū rahe bāqī!
kis qadar dil-nashīñ haiñ lab tere
bāda-e-ahmarīñ haiñ lab tere
tere hoñToñ kā ras nahīñ hai ye
āb-e-kausar hai añgbīñ hai ye
shahad ke ghūñT pī rahā huuñ maiñ
aaj kī raat jī rahā huuñ maiñ
aaj kī raat phir na ā.egī!
chandni raat hai jawani par
dast-e-gardun mein saghar-e-mahtab
nur ban ban ke chhan rahi hai sharab
saqi-e-asman piyala-ba-dast
main sharab-e-surur se sarmast
fikr-e-dozaKH na zikr-e-jannat hai
main hun aur teri pyari surat hai
ras-bhare honT mad-bhari aankhen!
kaun farda pe e'tibar kare
kaun jannat ka intizar kare
jaane kab maut ka payam aae
ye masarrat bhi hum se chhin jae
daman-e-aql chaak hone de
aaj ye qissa pak hone de
gham ko na-paedar kar den hum
maut ko sharmsar kar den hum
lab se lab yun milen ki kho jaen
jazb ek dusre mein ho jaen
main rahun aur na tu rahe baqi!
kis qadar dil-nashin hain lab tere
baada-e-ahmarin hain lab tere
tere honTon ka ras nahin hai ye
aab-e-kausar hai angbin hai ye
shahad ke ghunT pi raha hun main
aaj ki raat ji raha hun main
aaj ki raat phir na aaegi!
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.