aaj ki raat
aaj kī raat
ik shaḳhs tanhā
bahut hī udaas aur bahut hī ḳhatarnāk hai
aaj kī raat
is qarya-e-mehrbāñ meñ
nahīñ hai koī mehrbāñ dastiyāb
aaj kī raat
kis ajnabī mezbāñ se
tavānā rahe jādu-e-barshgāl
aaj kī raat
apne faletoñ se dekho
shikastoñ kī zad meñ sharār o shahāb
airport se ghar talak ḳhvāhisheñ
aap ke saath bistar talak ḳhvāhisheñ
so bistar kī battī bujhāte hue
burī shā.erī gungunāte hue
nā-gahāñ ye ḳhabar ye ḳhayāl
ki ḳhvāhish to hai hī nahīñ
aaj ki raat
ek shaKHs tanha
bahut hi udas aur bahut hi KHatarnak hai
aaj ki raat
is qarya-e-mehrban mein
nahin hai koi mehrban dastiyab
aaj ki raat
kis ajnabi mezban se
tawana rahe jadu-e-barshgal
aaj ki raat
apne faleton se dekho
shikaston ki zad mein sharar o shahab
airport se ghar talak KHwahishen
aap ke sath bistar talak KHwahishen
so bistar ki batti bujhate hue
buri shaeri gungunate hue
na-gahan ye KHabar ye KHayal
ki KHwahish to hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.