aaj ki raat
raat aate hī mujhe ḳhud se bhī Dar lagtā hai
peḌ chalte haiñ havāoñ se sadā aatī hai
merī tanhā.ī kī ḳhāmosh fazā gaatī hai
raushnī jāgne lagtī hai siyah-ḳhāne meñ
jaan paḌ jaatī hai bhūle hue afsāne meñ
aane lagtī haiñ ka.ī ajnabī mahkāreñ sī
gūñjne lagtī haiñ pāzeb kī jhankāreñ sī
haath meñ vaqt ke hotā hai masarrat kā rabāb
jagmagāte haiñ añdheroñ meñ hazāroñ mahtāb
baat hone nahīñ paatī ki bichhaḌ jaatī ho
merī taqdīr kī mānind bigaḌ jaatī ho
aaj kī raat bhī shāyad yahī aalam hogā!
chāñd sūraj kī tarah lamhe nikal ā.eñge
dekhte dekhte din raat badal jā.eñge
vahī palkeñ vahī zulfeñ vahī sūrat hogī
mere ghar meñ mirī mehmān mohabbat hogī!
raat aate hī mujhe ḳhud se bhī Dar lagtā hai
raat aate hi mujhe KHud se bhi Dar lagta hai
peD chalte hain hawaon se sada aati hai
meri tanhai ki KHamosh faza gati hai
raushni jagne lagti hai siyah-KHane mein
jaan paD jati hai bhule hue afsane mein
aane lagti hain kai ajnabi mahkaren si
gunjne lagti hain pazeb ki jhankaren si
hath mein waqt ke hota hai masarrat ka rabab
jagmagate hain andheron mein hazaron mahtab
baat hone nahin pati ki bichhaD jati ho
meri taqdir ki manind bigaD jati ho
aaj ki raat bhi shayad yahi aalam hoga!
chand suraj ki tarah lamhe nikal aaenge
dekhte dekhte din raat badal jaenge
wahi palken wahi zulfen wahi surat hogi
mere ghar mein meri mehman mohabbat hogi!
raat aate hi mujhe KHud se bhi Dar lagta hai
- Book : Mauje Aariz (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.