aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar
koī be-par kī nahīñ koī be-sar kī nahīñ hai ye par taaza ḳhabar
aaj ik taaza ḳhabar aa.ī hai ambāle se
laash ik hāthī kī niklī hai kisī naale se
doctor dekh ke bolā ye use aale se
ye marā zahr se nā qatl huā bhāle se
mar gayā bhuuk meñ ye khā ke kahīñ kachchī maTar
aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar
ik kabāḌī se mujhe mil gayā jaadū kā charāġh
rāt-din ḳharch kiyā kartā huuñ is par maiñ dimāġh
sochtā huuñ ki musībat ko mile dil ko farāġh
lekin ab tak na milā koī ḳhazāne kā surāġh
log kahte haiñ amal meñ hai tire dam kī kasar
aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar
bamba.ī bhāgā thā ik laḌkā jo apne ghar se
jeb ḳhālī thī na the us meñ na.e das paise
shakl T-T kī yakāyak jo nazar aa.ī use
āḳhirash kuud paḌā chaltī huī gaaḌī se
be-ticket ḳhatm huā manzil-e-hastī kā safar
aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar aaj kī taaza ḳhabar