aaj phir jine ka ai dost irada kar tu
kyoñ ujāle haiñ nigāhoñ meñ tirī chubhne lage
kyoñ añdheroñ meñ mire dost tujhe kaif mile
kyoñ tirī ruuh kisī naġhme se shādāb na ho
kyoñ tabassum pe kalī ke bhī tirā dil na khile
naam lete hī vafā kā tū biphar uThtā hai
zikr iḳhlās kā karte hī bhaḌak jaa.e tū
kyoñ har ik vā'de pe hotā hai gumāñ bol tujhe
kyoñ hai iqrār se aatī tujhe inkār kī bū
baat chhiḌtī hai agar nargisī āñkhoñ kī kabhī
sard sī aah nikal aatī hai siine se tire
uTh ke chup-chāp chalā jaatā hai mahfil se tū
dost hote haiñ pareshān qarīne se tire
kyoñ ye duniyā tujhe be-sūd nazar aatī hai
kyoñ kisī chiiz kī chāhat hai na hasrat hai tujhe
kyoñ tabīboñ ko nahīñ paas phaTakne detā
ġhamgusāroñ se batā kis liye nafrat hai tujhe
mausam-e-gul to ka.ī baar hai aa aa ke gayā
ek muddat se tire chehre pe rā’nā.ī nahīñ
gosha-gosha hai khilā aaj bhī gulshan kā magar
tere dil ke kisī gosha meñ bahār aa.ī nahīñ
bevafā.ī ne kisī kī hai dil aisā toḌā
tujh ko dariyā bhī sarāboñ sā nazar aatā hai
har hasīñ chiiz se nāhaq tujhe Dar lagtā hai
duudh kā jaise jalā chhāchh se ghabrātā hai
dil ko bezār na kar ik do havādis ke sabab
ziist meñ aur havādis bhī guzarne haiñ abhī
dil kā ujḌā hai agar baaġh to māyūs na ho
phuul murjhāne bhī haiñ aur bhī khilne haiñ abhī
bevafā koī jo niklā to ḳhatā kyā terī
be-sabab ḳhud ko na is darja sazā de ab to
yaad kar ke use hāsil tujhe kyā hogā batā
jo tujhe bhuul gayā us ko bhulā de ab to
uTh na.ī paud lagāne kā hai mausam aayā
phuul ujḌe hue gulshan meñ khilā de tū na.e
kab se betāb hai duniyā tire naġhmoñ ke liye
uTh ke sāzoñ ko sajā giit sunā de tū na.e
aaj phir jiine kā ai dost irāda kar tū
phir na rūThegā kabhī ziist se vā'da kar tū
kyon ujale hain nigahon mein teri chubhne lage
kyon andheron mein mere dost tujhe kaif mile
kyon teri ruh kisi naghme se shadab na ho
kyon tabassum pe kali ke bhi tera dil na khile
nam lete hi wafa ka tu biphar uThta hai
zikr iKHlas ka karte hi bhaDak jae tu
kyon har ek wa'de pe hota hai guman bol tujhe
kyon hai iqrar se aati tujhe inkar ki bu
baat chhiDti hai agar nargisi aankhon ki kabhi
sard si aah nikal aati hai sine se tere
uTh ke chup-chap chala jata hai mahfil se tu
dost hote hain pareshan qarine se tere
kyon ye duniya tujhe be-sud nazar aati hai
kyon kisi chiz ki chahat hai na hasrat hai tujhe
kyon tabibon ko nahin pas phaTakne deta
ghamgusaron se bata kis liye nafrat hai tujhe
mausam-e-gul to kai bar hai aa aa ke gaya
ek muddat se tere chehre pe ra’nai nahin
gosha-gosha hai khila aaj bhi gulshan ka magar
tere dil ke kisi gosha mein bahaar aai nahin
bewafai ne kisi ki hai dil aisa toDa
tujh ko dariya bhi sarabon sa nazar aata hai
har hasin chiz se nahaq tujhe Dar lagta hai
dudh ka jaise jala chhachh se ghabraata hai
dil ko bezar na kar ek do hawadis ke sabab
zist mein aur hawadis bhi guzarne hain abhi
dil ka ujDa hai agar bagh to mayus na ho
phul murjhane bhi hain aur bhi khilne hain abhi
bewafa koi jo nikla to KHata kya teri
be-sabab KHud ko na is darja saza de ab to
yaad kar ke use hasil tujhe kya hoga bata
jo tujhe bhul gaya us ko bhula de ab to
uTh nai paud lagane ka hai mausam aaya
phul ujDe hue gulshan mein khila de tu nae
kab se betab hai duniya tere naghmon ke liye
uTh ke sazon ko saja git suna de tu nae
aaj phir jine ka ai dost irada kar tu
phir na ruThega kabhi zist se wa'da kar tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.