aaj phir mujhse
aaj phir mujh se
mirā kamra muḳhātib hai
darāḌeñ vo kabhī
chhat kī dikhātā hai
kabhī dīvār meñ paḌte shagāfoñ ko
nishāñ jhulse hue rañgoñ kā mujh ko
mubtilā kar detā hai haibat meñ
makḌī ke subuk jaale
havā ke dosh par lahrāne lagte haiñ
zavāl-e-zindagī kā vo pata bhī dene lagte haiñ
zamīñ kamre kī
bosīda kahānī jab sunātī hai
kivāḌoñ se sadā uThtī hai
rone aur sisakne kī
kabhī aaheñ sī bharne ki
unhīñ lamhoñ ke saa.e meñ magar
kuchh jhāñktī añgūr kī beleñ
darīche se tabassum kā shagufta aks
dikhlātī haiñ āñkhoñ ko
aaj phir mujh se
mera kamra muKHatib hai
daraDen wo kabhi
chhat ki dikhata hai
kabhi diwar mein paDte shagafon ko
nishan jhulse hue rangon ka mujh ko
mubtila kar deta hai haibat mein
makDi ke subuk jale
hawa ke dosh par lahrane lagte hain
zawal-e-zindagi ka wo pata bhi dene lagte hain
zamin kamre ki
bosida kahani jab sunati hai
kiwaDon se sada uThti hai
rone aur sisakne ki
kabhi aahen si bharne ki
unhin lamhon ke sae mein magar
kuchh jhankti angur ki belen
dariche se tabassum ka shagufta aks
dikhlati hain aankhon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.