aaj phir
mujhe
aaj phir vo nazm shiddat se yaad aa.ī
jo maiñ ne barsoñ pahle
ek ḳhvāb ke bikhar jaane par kahī thī
vaise maiñ ne arse se ḳhvāb dekhnā band kar diyā thā
ya.anī sarāboñ ke pīchhe bhāgnā chhoḌ diyā thā
magar ḳhvāb kab pīchhā chhoḌte haiñ
udhar phir kuchh dinoñ se ek ḳhvāb āñkhoñ meñ rahā
jis ke ḳhūbsūrat rañg-mahal ke tāne-bāne
tamām mumkin pahluoñ par kase ga.e
ummīd ne bhī piiTh thapthapā.ī thī
ka.ī taraf se sāzgār havāoñ kā bhī ehsās huā thā
shāyad ye merī ḳhush-fahmī thī
aur aaj jab vo ḳhvāb bhī bikhar gayā
to mujhe barsoñ pahle kahī huī vo nazm yaad aa.ī
jo ek aise hī ḳhvāb kī shikast par kahī ga.ī thī
mujhe ḳhvāb nahīñ dekhnā chāhiye
yā phir is haqīqat se aañkh milā lenā chāhiye
ki agar ḳhvāb dekhnā hai
aur un kī takmīl kī bhī aarzū hai
to vo sab kuchh karnā hogā
jo āj-kal
ḳhvāboñ ko sākār karne ke liye kiyā jaatā hai
mujhe
aaj phir wo nazm shiddat se yaad aai
jo main ne barson pahle
ek KHwab ke bikhar jaane par kahi thi
waise main ne arse se KHwab dekhna band kar diya tha
yani sarabon ke pichhe bhagna chhoD diya tha
magar KHwab kab pichha chhoDte hain
udhar phir kuchh dinon se ek KHwab aankhon mein raha
jis ke KHubsurat rang-mahal ke tane-bane
tamam mumkin pahluon par kase gae
ummid ne bhi piTh thapthapai thi
kai taraf se sazgar hawaon ka bhi ehsas hua tha
shayad ye meri KHush-fahmi thi
aur aaj jab wo KHwab bhi bikhar gaya
to mujhe barson pahle kahi hui wo nazm yaad aai
jo ek aise hi KHwab ki shikast par kahi gai thi
mujhe KHwab nahin dekhna chahiye
ya phir is haqiqat se aankh mila lena chahiye
ki agar KHwab dekhna hai
aur un ki takmil ki bhi aarzu hai
to wo sab kuchh karna hoga
jo aaj-kal
KHwabon ko sakar karne ke liye kiya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.