aaj phir se mausam badla hai
aaj phir se vo yaad aayā hai
un lamhoñ kā lams hāthoñ meñ baaqī hai
ḳhizāñ sard mausam kī ridā oḌhe
bhaTakne lagī hai phir se
yaad hai vo sab mujh ko ab bhī
isī tarah milte-julte mausam meñ
samundar kināre lahreñ jab uchhaltī kūdtī
pairoñ pe dam toḌtī thiiñ
mere zehn ke ik ik goshe meñ
yādeñ abhī bhī raqs kartī haiñ
be-ḳhudī meñ ab bhī muskurāhaT
hoñToñ pe machalne lagtī hai
falak par sitāroñ ke jhurmuT meñ
duur ufaq par chāñd jab chamaktā thā
tab jaltī bujhtī raushnī meñ ham
ik dūsre kā chehra takte rahte the
havā.eñ aa kar yuuñ gudgudātī thiiñ
hañste hañste ka.ī baar sāñseñ
rukne lagtī thiiñ
aaj phir se is mausam meñ
vo jhiil sī do āñkheñ
phir se yaad aa.ī haiñ
jin meñ ajab sī ik ḳhāmoshī
tairtī rahtī thī suno aa kar bhī
phir se zard patte shor karte haiñ
phūloñ ke bain sune haiñ maiñ ne
kahte haiñ sab mujh se
bad-gumānī ho jis dil meñ
mohabbat ho hī nahīñ saktī
maiñ khaḌī huuñ jahāñ
vahāñ ḳhāmoshiyāñ aaj bhī bāteñ kartī haiñ
aaj phir se mausam badlā hai
aaj phir se vo yaad aayā hai
aaj phir se wo yaad aaya hai
un lamhon ka lams hathon mein baqi hai
KHizan sard mausam ki rida oDhe
bhaTakne lagi hai phir se
yaad hai wo sab mujh ko ab bhi
isi tarah milte-julte mausam mein
samundar kinare lahren jab uchhalti kudti
pairon pe dam toDti thin
mere zehn ke ek ek goshe mein
yaaden abhi bhi raqs karti hain
be-KHudi mein ab bhi muskurahaT
honTon pe machalne lagti hai
falak par sitaron ke jhurmuT mein
dur ufaq par chand jab chamakta tha
tab jalti bujhti raushni mein hum
ek dusre ka chehra takte rahte the
hawaen aa kar yun gudgudati thin
hanste hanste kai bar sansen
rukne lagti thin
aaj phir se is mausam mein
wo jhil si do aankhen
phir se yaad aai hain
jin mein ajab si ek KHamoshi
tairti rahti thi suno aa kar bhi
phir se zard patte shor karte hain
phulon ke bain sune hain main ne
kahte hain sab mujh se
bad-gumani ho jis dil mein
mohabbat ho hi nahin sakti
main khaDi hun jahan
wahan KHamoshiyan aaj bhi baaten karti hain
aaj phir se mausam badla hai
aaj phir se wo yaad aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.