aaj phir
vaqt kī zanjīroñ meñ jakḌe
ham tum barsoñ baad mile haiñ
lekin aisā lagtā hai mujh ko
jaise pahlī baar mile haiñ
pichhle pahar kī dhuup vahī thī
shaam kā āñchal Dhalak rahā thā
lambī hotī jaatī thī
san san san san bahtī havā.eñ
diip jalāne aatī thiiñ
raushan tāroñ kī bārāteñ
chāñd ko gher ke laatī thiiñ
aaj bhī din kī dhuup Dhalī hai
vaqt kī paa.el chhanak uThī hai
chhan-chhan āvāzoñ ko sun kar
ūñghte saa.e jaag uThe haiñ
vaqt kī zanjīroñ se kaT kar
TuuT ga.e to juḌ na sakeñge
āvāzoñ kā kaun bharosa
ḳhvāboñ ko ta.abīreñ de do
naġhmoñ kī jhankāreñ sun kar
jaag uThe to hosh meñ aao
ham tum pahlī baar mile haiñ
mere naġhme vaqt kī lai par
tum na suno to kaun sunegā
ham tum barsoñ baad mile haiñ
ham tum kitnī baar mile haiñ
jaise pahlī baar mile haiñ
waqt ki zanjiron mein jakDe
hum tum barson baad mile hain
lekin aisa lagta hai mujh ko
jaise pahli bar mile hain
pichhle pahar ki dhup wahi thi
sham ka aanchal Dhalak raha tha
lambi hoti jati thi
san san san san bahti hawaen
dip jalane aati thin
raushan taron ki baraaten
chand ko gher ke lati thin
aaj bhi din ki dhup Dhali hai
waqt ki pael chhanak uThi hai
chhan-chhan aawazon ko sun kar
unghte sae jag uThe hain
waqt ki zanjiron se kaT kar
TuT gae to juD na sakenge
aawazon ka kaun bharosa
KHwabon ko tabiren de do
naghmon ki jhankaren sun kar
jag uThe to hosh mein aao
hum tum pahli bar mile hain
mere naghme waqt ki lai par
tum na suno to kaun sunega
hum tum barson baad mile hain
hum tum kitni bar mile hain
jaise pahli bar mile hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.