aaj phir ye kah raha hun
aaj phir ye kah rahā huuñ
yā mujhe apnāo yā merī kalā meñ Duub jaao
yā to ik patthar bano yā phuul ban kar muskurāo
maiñ tumhārī ḳhvāhishoñ ke saath sab kuchh sah rahā huuñ
aaj phir ye kah rahā huuñ
zindagī ik fan hai, fan maayā hai, maayā ek jaal
merā fan baḳhshegā tum ko zāhirī husn-o-jamāl
jo bhī chāhogī, milegā,
phuul jīvan kā khilegā
taaj chāho taaj de duuñ yā ajantā maañg dekho
jis tarah bhī dil kahe, merī kalā kā svāñg dekho
jo bhī mere fan se māñgogī, tumheñ mil jā.egā vo
rañg jo bhī dhyān meñ lāogī tum, muskā.egā vo
haañ, magar phir kah rahā huuñ
jab ye sab kuchh pā chukogī, ek daulat kho bhī dogī
mujh se nafrat hai magar ye husn-e-nafrat kho bhī dogī
sab rahegā
maiñ na hūñgā
aur tum merī kalā ke makr se ghabrā uThogī,
biich sāgar ro paḌogī ḳhud-baḳhud chillā uThogī
ek sāgar kī taraf ab maiñ bhī shāyad bah rahā huuñ
aaj phir ye kah rahā huuñ.....
aaj phir ye kah raha hun
ya mujhe apnao ya meri kala mein Dub jao
ya to ek patthar bano ya phul ban kar muskurao
main tumhaari KHwahishon ke sath sab kuchh sah raha hun
aaj phir ye kah raha hun
zindagi ek fan hai, fan maya hai, maya ek jal
mera fan baKHshega tum ko zahiri husn-o-jamal
jo bhi chahogi, milega,
phul jiwan ka khilega
taj chaho taj de dun ya ajanta mang dekho
jis tarah bhi dil kahe, meri kala ka swang dekho
jo bhi mere fan se mangogi, tumhein mil jaega wo
rang jo bhi dhyan mein laogi tum, muskaega wo
han, magar phir kah raha hun
jab ye sab kuchh pa chukogi, ek daulat kho bhi dogi
mujh se nafrat hai magar ye husn-e-nafrat kho bhi dogi
sab rahega
main na hunga
aur tum meri kala ke makr se ghabra uThogi,
bich sagar ro paDogi KHud-baKHud chilla uThogi
ek sagar ki taraf ab main bhi shayad bah raha hun
aaj phir ye kah raha hun
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 161)
- Author : ateequllah
- Publication : urdu academy (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.