aaj tanhai ne thoDa sa dilasa jo diya
aaj tanhā.ī ne thoḌā sā dilāsa jo diyā
kitne rūThe hue sāthī mujhe yaad aa.e haiñ
mausam-e-vasl kī kirnoñ kā vo amboh ravāñ
jis ke hamrāh kisī zohra-jabīñ kī Dolī
aise utrī thī ki jaise koī aayat utre
hijr kī shaam ke bikhre hue kājal kī lakīr
jis ne āñkhoñ ke gulāboñ pe shafaq chhiḌkī thī
jaise ḳhushbū kisī jañgal meñ barahna Thahre
ḳhilqat-e-shahr kī jānib se malāmat kā azaab
jis ne akasr mujhe hone kā yaqīñ baḳhshā thā
dast-e-a.adā.eñ vo khiñchtī huī tohmat kī kamāñ
bārish-e-sañg meñ khultī huī tīroñ kī dukāñ
mehrbāñ dost rifāqat kā bharam rakhte hue
ajnabī log dil-o-jāñ meñ qadam rakhte hue
aaj tanhā.ī ne thoḌā sā dilāsa jo diyā
kitne rūThe hue sāthī mujhe yaad aa.e haiñ
ab na pindār-e-vafā hai na mohabbat kī jazā
dast-e-a.adā kī kashish hai na rafīqoñ kī sazā
taḳhta-e-dār na mansab na adālat kī ḳhalish
ab to ik chīḳh sī hoñToñ meñ dabī rahtī hai
raas aa.egā kise dasht-e-balā mere ba.ad
kaun māñgegā ujaḌne kī duā mere ba.ad
aaj tanhā.ī ne thoḌā sā dilāsa jo diyā
aaj tanhai ne thoDa sa dilasa jo diya
kitne ruThe hue sathi mujhe yaad aae hain
mausam-e-wasl ki kirnon ka wo amboh rawan
jis ke hamrah kisi zohra-jabin ki Doli
aise utri thi ki jaise koi aayat utre
hijr ki sham ke bikhre hue kajal ki lakir
jis ne aankhon ke gulabon pe shafaq chhiDki thi
jaise KHushbu kisi jangal mein barahna Thahre
KHilqat-e-shahr ki jaanib se malamat ka azab
jis ne akasr mujhe hone ka yaqin baKHsha tha
dast-e-adaen wo khinchti hui tohmat ki kaman
barish-e-sang mein khulti hui tiron ki dukan
mehrban dost rifaqat ka bharam rakhte hue
ajnabi log dil-o-jaan mein qadam rakhte hue
aaj tanhai ne thoDa sa dilasa jo diya
kitne ruThe hue sathi mujhe yaad aae hain
ab na pindar-e-wafa hai na mohabbat ki jaza
dast-e-ada ki kashish hai na rafiqon ki saza
taKHta-e-dar na mansab na adalat ki KHalish
ab to ek chiKH si honTon mein dabi rahti hai
ras aaega kise dasht-e-bala mere baad
kaun mangega ujaDne ki dua mere baad
aaj tanhai ne thoDa sa dilasa jo diya
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 456)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.