aaj tum aise hanse
aaj tum aise hañse
jaise koī āzād kar de saikḌoñ qaidī parinde
shor karte āsmāñ kī samt
yā bārish samundar par gire raftār meñ
yā dhuup khil jaa.e bharī barsāt meñ
tum guuñj ho ḳhushiyoñ ke tyauhāroñ kī
jo ham bholpan meñ apne bachpan ke safar meñ bhuul baiThe haiñ
tumheñ kis ne kahā
itnā hañso ki baal khul jaa.eñ
tumheñ kis ne kahā
ye sādgī kā zā.iqa tajvīz kar lo
kin bahādur rāstoñ par tum ne
apne naam kī mohreñ lagā.ī haiñ
tumheñ ye dhuup kā zevar september kī nishānī hai
september mere hoñToñ merī āñkhoñ meñ samāyā hai
september aa chukā hai mere dil meñ
aur mere jism ke āhañg meñ tabdīl hotā jā rahā hai
tum hañsī meñ giit hañstī jā rahī ho
kitnā mushkil hai hañsī kā giit meñ tabdīl ho jaanā
bahut mushkil
magar aise bahādur rāstoñ par sirf āzādī
hañsī ke giit
aur tere khule bāloñ meñ
purvā.ī chalegī
der tak aur duur tak
aaj tum aise hanse
jaise koi aazad kar de saikDon qaidi parinde
shor karte aasman ki samt
ya barish samundar par gire raftar mein
ya dhup khil jae bhari barsat mein
tum gunj ho KHushiyon ke tyauhaaron ki
jo hum bholpan mein apne bachpan ke safar mein bhul baiThe hain
tumhein kis ne kaha
itna hanso ki baal khul jaen
tumhein kis ne kaha
ye sadgi ka zaiqa tajwiz kar lo
kin bahadur raston par tum ne
apne nam ki mohren lagai hain
tumhein ye dhup ka zewar september ki nishani hai
september mere honTon meri aankhon mein samaya hai
september aa chuka hai mere dil mein
aur mere jism ke aahang mein tabdil hota ja raha hai
tum hansi mein git hansti ja rahi ho
kitna mushkil hai hansi ka git mein tabdil ho jaana
bahut mushkil
magar aise bahadur raston par sirf aazadi
hansi ke git
aur tere khule baalon mein
purwai chalegi
der tak aur dur tak
- Book : meyaar (Pg. 112)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.