aaKHir-e-shab ke mehman
phir raat kī lāñbī palkoñ par
taḳhayyul ke motī Dhalte haiñ
phir vaqt kā afsūñ jaagā hai
ḳhushiyoñ ke ḳhazāne luTte haiñ
aur dil ke ziyāfat-ḳhāne ke
har goshe meñ sham.eñ jaltī haiñ
phūloñ se sajī haiñ mehrābeñ
ḳhushiyoñ kī dahaktī minqal se
tanvīr ke haale bante haiñ
ḳhvābīda darīche khulte haiñ
darvāzoñ ke parde hilte haiñ
mehmānoñ ke qadmoñ kī aahaT
har samt sunā.ī detī hai
is mahfil-e-husn-o-ḳhūbī meñ
maiñ un se muqābil hotī huuñ
ye haath jo mere haath meñ haiñ
phūloñ se ziyāda nāzuk haiñ
in zulfoñ ke umDe yā dil meñ
mahtāb sā chehra raushan hai
taslīm ko sar jhuktā hai koī
yā shāḳh havā se lachkī hai
chāñdī ke kaTore bajte haiñ
yā us ke laboñ par jumbish hai
in āñkhoñ ne mujh ko dekhā hai
yā TuuT ke taare barse haiñ
ye raat jo mere mehmānoñ kā
is tarah svāgat kartī hai
is raat ke phaile dāman par
maiñ shukr ke sajde kartī huuñ
phir raat ki lanbi palkon par
taKHayyul ke moti Dhalte hain
phir waqt ka afsun jaga hai
KHushiyon ke KHazane luTte hain
aur dil ke ziyafat-KHane ke
har goshe mein shamen jalti hain
phulon se saji hain mehraben
KHushiyon ki dahakti minqal se
tanwir ke haale bante hain
KHwabida dariche khulte hain
darwazon ke parde hilte hain
mehmanon ke qadmon ki aahaT
har samt sunai deti hai
is mahfil-e-husn-o-KHubi mein
main un se muqabil hoti hun
ye hath jo mere hath mein hain
phulon se ziyaada nazuk hain
in zulfon ke umDe ya dil mein
mahtab sa chehra raushan hai
taslim ko sar jhukta hai koi
ya shaKH hawa se lachki hai
chandi ke kaTore bajte hain
ya us ke labon par jumbish hai
in aankhon ne mujh ko dekha hai
ya TuT ke tare barse hain
ye raat jo mere mehmanon ka
is tarah swagat karti hai
is raat ke phaile daman par
main shukr ke sajde karti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.