aaKHir kyon
niilā niilā ambar kyoñ hai
dhartī khātī chakkar kyoñ hai
billī chūhe kyoñ hai khātī
kaalī koyal kyoñ hai gaatī
kyoñ paanī meñ rahtī machhlī
kyoñ charḳhe par ghūme taklī
titlī rang-birangī kyoñ hai
ye duniyā be-Dhangī kyoñ hai
hindū muslim sikh īsā.ī
kyoñ rakhte maz.hab kī khaa.ī
kuchh gore kuchh kaale kyoñ haiñ
ūñche paise vaale kyoñ haiñ
chīzeñ itnī mahñgī kyoñ haiñ
jāneñ itnī sastī kyoñ haiñ
jhagḌā karte kyoñ haiñ insāñ
dhan par marte kyoñ haiñ insāñ
ḳhud-ġharzī hī pyārī kyoñ hai
matlab kī hī yaarī kyoñ hai
har dam bam ke ḳhatre kyoñ haiñ
jang ke bādal bikhre kyoñ haiñ
sad.hā bāteñ man meñ uThtīñ
ghere mujh ko socheñ rahtīñ
maiñ huuñ nanhā munnā bālak
auroñ jaisā kab huuñ zīrak
paapā tum ho aalim fāzil har fan meñ ho puure kāmil
paapā mujh ko batlāo nā
saarī bāteñ samjhāo nā
nila nila ambar kyon hai
dharti khati chakkar kyon hai
billi chuhe kyon hai khati
kali koyal kyon hai gati
kyon pani mein rahti machhli
kyon charKHe par ghume takli
titli rang-birangi kyon hai
ye duniya be-Dhangi kyon hai
hindu muslim sikh isai
kyon rakhte mazhab ki khai
kuchh gore kuchh kale kyon hain
unche paise wale kyon hain
chizen itni mahngi kyon hain
jaanen itni sasti kyon hain
jhagDa karte kyon hain insan
dhan par marte kyon hain insan
KHud-gharzi hi pyari kyon hai
matlab ki hi yari kyon hai
har dam bam ke KHatre kyon hain
jang ke baadal bikhre kyon hain
sadha baaten man mein uThtin
ghere mujh ko sochen rahtin
main hun nanha munna baalak
auron jaisa kab hun zirak
papa tum ho aalim fazil har fan mein ho pure kaamil
papa mujh ko batlao na
sari baaten samjhao na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.