aaKHir main kis jaisa hun
merī ammī kahtī haiñ
merā beTā mujh sā hai
abbū kahte haiñ ki maiñ
bilkul un hī jaisā huuñ
koī mujh ko batlā.e
thoḌā sā ye samjhā.e
kyā maiñ ammī jaisā huuñ
yā maiñ abbū jaisā huuñ
abbū itne lambe haiñ
aur maiñ qad meñ chhoTā huuñ
ammī merī dublī sī
maiñ to thoḌā moTā huuñ
abbū sā na ammī sā
āḳhir maiñ kis jaisā huuñ
kyā maiñ ammī jaisā huuñ
yā maiñ abbū jaisā huuñ
abbū thoḌe ganje haiñ
ammī kī lambī choTī
merā sar ganjā bhī nahīñ
na is pe lambī choTī
donoñ jaise baal nahīñ
phir maiñ dikhtā kaisā huuñ
kyā maiñ ammī jaisā huuñ
yā maiñ abbū jaisā huuñ
abbū ġhussa karte haiñ
mujh ko sahnā paḌtā hai
ammī DaañT pilā.eñ to
chup hī rahnā paḌtā hai
chup maiñ rahtā huuñ kyūñki
achchhe bachchoñ jaisā huuñ
kyā maiñ ammī jaisā huuñ
yā maiñ abbū jaisā huuñ
ammī jab ḳhush hotī haiñ
kahtī haiñ merā chandā
abbū kahte haiñ ki maiñ
ek sitāre jaisā huuñ
kyā maiñ chandā jaisā huuñ
yā maiñ taare jaisā huuñ
kyā maiñ ammī jaisā huuñ
yā maiñ abbū jaisā huuñ
abbū jab ghar aate haiñ
paanī le kar aatā huuñ
ammī ko saarī chīzeñ
lā lā kar pakḌātā huuñ
donoñ hī ke kāmoñ meñ
thoḌī madad karātā huuñ
baḌe baḌe paudoñ ke biich
nanhe phūloñ jaisā huuñ
haañ maiñ samajh gayā ḳhud hī
āḳhir maiñ kis jaisā huuñ
kuchh kuchh ammī jaisā huuñ
kuchh kuchh abbū jaisā huuñ
apne ghar kī ḳhushbū huuñ
maiñ to donoñ jaisā huuñ
meri ammi kahti hain
mera beTa mujh sa hai
abbu kahte hain ki main
bilkul un hi jaisa hun
koi mujh ko batlae
thoDa sa ye samjhae
kya main ammi jaisa hun
ya main abbu jaisa hun
abbu itne lambe hain
aur main qad mein chhoTa hun
ammi meri dubli si
main to thoDa moTa hun
abbu sa na ammi sa
aaKHir main kis jaisa hun
kya main ammi jaisa hun
ya main abbu jaisa hun
abbu thoDe ganje hain
ammi ki lambi choTi
mera sar ganja bhi nahin
na is pe lambi choTi
donon jaise baal nahin
phir main dikhta kaisa hun
kya main ammi jaisa hun
ya main abbu jaisa hun
abbu ghussa karte hain
mujh ko sahna paDta hai
ammi DanT pilaen to
chup hi rahna paDta hai
chup main rahta hun kyunki
achchhe bachchon jaisa hun
kya main ammi jaisa hun
ya main abbu jaisa hun
ammi jab KHush hoti hain
kahti hain mera chanda
abbu kahte hain ki main
ek sitare jaisa hun
kya main chanda jaisa hun
ya main tare jaisa hun
kya main ammi jaisa hun
ya main abbu jaisa hun
abbu jab ghar aate hain
pani le kar aata hun
ammi ko sari chizen
la la kar pakData hun
donon hi ke kaamon mein
thoDi madad karaata hun
baDe baDe paudon ke bich
nanhe phulon jaisa hun
han main samajh gaya KHud hi
aaKHir main kis jaisa hun
kuchh kuchh ammi jaisa hun
kuchh kuchh abbu jaisa hun
apne ghar ki KHushbu hun
main to donon jaisa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.