aaKHiri aadmi
Interesting Fact
(Tahreeren, Lahore, Yearly: March-April 1973)
bujhā do
lahū ke samundar ke us paar
ā.ina-ḳhānoñ meñ ab jhilmilāte hue qumqumoñ ko bujhā do
ki dil jin se raushan thā ab un charāġhoñ kī lau bujh chukī hai
miTā do
munaqqash dar-o-bām ke jagmagāte
chamakte hue sab butoñ ko miTā do
ki ab lauh-e-dil se har ik naqsh harf-e-ġhalat kī tarah miT chukā hai
uThā do
lahū ke jazīre meñ
biphrī huī maut ke zard panjoñ se parda uThā do
ki ab is jazīre meñ
lāshoñ ke ambār bikhre paḌe haiñ
fazā meñ har ik samt
jalte hue ḳhuun kī bū rachī hai
vo āñkheñ jo apne badan kī tarah saaf shaffāf thiiñ
ab un daraḳhtoñ pe baiThe hue chiil kavvoñ gidhoñ kī ġhizā bin chukī haiñ
ye sola december kī bujhtī huī shaam hai
aur maiñ
is lahū ke jazīre meñ jaltā huā āḳhirī aadmī huuñ
bujha do
lahu ke samundar ke us par
aaina-KHanon mein ab jhilmilate hue qumqumon ko bujha do
ki dil jin se raushan tha ab un charaghon ki lau bujh chuki hai
miTa do
munaqqash dar-o-baam ke jagmagate
chamakte hue sab buton ko miTa do
ki ab lauh-e-dil se har ek naqsh harf-e-ghalat ki tarah miT chuka hai
uTha do
lahu ke jazire mein
biphri hui maut ke zard panjon se parda uTha do
ki ab is jazire mein
lashon ke ambar bikhre paDe hain
faza mein har ek samt
jalte hue KHun ki bu rachi hai
wo aankhen jo apne badan ki tarah saf shaffaf thin
ab un daraKHton pe baiThe hue chil kawwon gidhon ki ghiza bin chuki hain
ye sola december ki bujhti hui sham hai
aur main
is lahu ke jazire mein jalta hua aaKHiri aadmi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.