aaKHiri darwaza band hone se pahle pahle
vāpsī kā faisla kar hī liyā hai to
gum-sum kyoñ baiThī ho
tumheñ to ḳhush honā chāhiye
vāpsī kā ek dar abhī khulā hai
tum jāntī nahīñ ho
agar vāpsī ke sabhī darvāze band ho jaa.eñ to
raat pairoñ meñ ghuñghrū bāñdhe
itnā bhaTkātī hai
ki vāpas lauT aane par bhī
ghar nahīñ miltā
sirf surma.ī sannāTe
āñkhoñ se nikalte haiñ
muntazir suunī qabroñ kī sūkhī miTTī ko
tar kar jaate haiñ
aise meñ dukh agar battiyāñ ban kar
sulag uTTheñ
saarā manzar dhuñdlā jaa.e
titliyāñ uḌnā chiḌiyāñ chahchahānā
jugnū chamaknā bhuul jaa.eñ
aur terī aur koyal kī kuuk huuk meñ badal jaa.e
is se pahle ki
ektāre kī dhun par
koī mātamī giit gaa.e
vāpas lauT jaao
āḳhirī darvāza band hone se pahle pahle
wapsi ka faisla kar hi liya hai to
gum-sum kyon baiThi ho
tumhein to KHush hona chahiye
wapsi ka ek dar abhi khula hai
tum jaanti nahin ho
agar wapsi ke sabhi darwaze band ho jaen to
raat pairon mein ghunghru bandhe
itna bhaTkati hai
ki wapas lauT aane par bhi
ghar nahin milta
sirf surmai sannaTe
aankhon se nikalte hain
muntazir suni qabron ki sukhi miTTi ko
tar kar jate hain
aise mein dukh agar battiyan ban kar
sulag uTThen
sara manzar dhundla jae
titliyan uDna chiDiyan chahchahana
jugnu chamakna bhul jaen
aur teri aur koyal ki kuk huk mein badal jae
is se pahle ki
ektare ki dhun par
koi matami git gae
wapas lauT jao
aaKHiri darwaza band hone se pahle pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.