aaKHiri din se pahle
bahut din rah liyā kū-e-nadāmat meñ
hazīmat ke bahut se vaar ham ne sah liye
tirā ye shahr shahr-e-jāñ nahīñ hai
tire is shahr meñ ab aur kyā rahnā
hamāre ḳhvāb
tere ḳhār-o-ḳhas meñ the
hamāre lafz
terī pesh-o-pas meñ the
ki ham har saañs
terī dastaras meñ the
tire ujle dinoñ se
ham ko kyā hissa milegā
gadā ke haath meñ
TuuTā huā kaasa rahegā
hamesha ke liye shāyad
yahī qissa rahegā
ab is dhoke meñ kyā rahnā
bahut din rah liyā kū-e-nadāmat meñ
bahut din rah liya ku-e-nadamat mein
hazimat ke bahut se war hum ne sah liye
tera ye shahr shahr-e-jaan nahin hai
tere is shahr mein ab aur kya rahna
hamare KHwab
tere KHar-o-KHas mein the
hamare lafz
teri pesh-o-pas mein the
ki hum har sans
teri dastaras mein the
tere ujle dinon se
hum ko kya hissa milega
gada ke hath mein
TuTa hua kasa rahega
hamesha ke liye shayad
yahi qissa rahega
ab is dhoke mein kya rahna
bahut din rah liya ku-e-nadamat mein
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 40)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.