aaKHiri din
yahāñ ye sab log apnī apnī gavāhiyāñ le ke yuuñ khaḌe haiñ
kisī ke hoñToñ pe barhamī hai
kisī kī āñkhoñ meñ bebasī hai
tamām māthe kitāb jaise
varaq varaq jis pe zindagī ke tamām lamhe likhe hue haiñ
har ek chehra baḌī ḳhamoshī se
saare chehroñ kī lauh-e-mastūr paḌh rahā hai
tamām chup-chāp sochte haiñ
ye aaj kā din bhī kaisā din hai
jo munjamid ho ke ek nuqte pe ruk gayā hai
ajiib din hai jo apnī pahchān kho chukā hai
vo sab ta.āruf jo mo'atabar the
vahī to ab ġhair-mo'tabar haiñ
na koī tauqīr-e-rang-o-bū kī
na koī bū-bās ab lahū kī
badan ke jitne bhī lāhiqe the
vo sab ke sab ġhair-mo'tabar haiñ
shanāsā chehre bhī nā-shanāsā
ki jaise koī kisī ko pahchāntā nahīñ hai
farishte āsūda-chashm aise ki jaise sadiyoñ se
aaj ke din ke muntazir the
vo sab kī fard-e-hisāb le kar
safoñ meñ yuuñ musta.id khaḌe haiñ
ki jaise saare hisāb-dāñ hoñ
magar ye fard-e-hisāb kaisī
karoḌoñ sāloñ ke baad saarī zabāñ ke anchhar badal chuke haiñ
purāne lafzoñ kī keñchulī bhī kabhī kī farsūda ho chukī hai
tamām lahje jo mo'atabar the kabhī ke tahlīl ho chuke haiñ
vo kal jo mafhūm mustanad the vo aaj tabdīl ho chuke haiñ
yahan ye sab log apni apni gawahiyan le ke yun khaDe hain
kisi ke honTon pe barhami hai
kisi ki aankhon mein bebasi hai
tamam mathe kitab jaise
waraq waraq jis pe zindagi ke tamam lamhe likhe hue hain
har ek chehra baDi KHamoshi se
sare chehron ki lauh-e-mastur paDh raha hai
tamam chup-chap sochte hain
ye aaj ka din bhi kaisa din hai
jo munjamid ho ke ek nuqte pe ruk gaya hai
ajib din hai jo apni pahchan kho chuka hai
wo sab taaruf jo mo'atabar the
wahi to ab ghair-mo'tabar hain
na koi tauqir-e-rang-o-bu ki
na koi bu-bas ab lahu ki
badan ke jitne bhi lahiqe the
wo sab ke sab ghair-mo'tabar hain
shanasa chehre bhi na-shanasa
ki jaise koi kisi ko pahchanta nahin hai
farishte aasuda-chashm aise ki jaise sadiyon se
aaj ke din ke muntazir the
wo sab ki fard-e-hisab le kar
safon mein yun mustaid khaDe hain
ki jaise sare hisab-dan hon
magar ye fard-e-hisab kaisi
karoDon salon ke baad sari zaban ke anchhar badal chuke hain
purane lafzon ki kenchuli bhi kabhi ki farsuda ho chuki hai
tamam lahje jo mo'atabar the kabhi ke tahlil ho chuke hain
wo kal jo mafhum mustanad the wo aaj tabdil ho chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.