aaKHiri dua
chaudhvāñ din lagātār hai
Doctroñ kī ye āñkhoñ ko paḌhte hue
nā-umīdī ke paare ko chaḌhte hue
chaudhvāñ din hai āñkheñ binā mask ke
ek insān bhī dekhne ko tarastī huī
chaudhvāñ din lagātār hai
laal niilī davā.eñ lahū meñ musalsal utartī huiiñ
chaudhvāñ din lagātār hai
jab azīzoñ kī āvāz kānoñ meñ aa.ī nahīñ
chaudhvāñ din lagātār hai
jab kisī ne bhī ghar kī banī chiiz koī bhī khaa.ī nahīñ
chaudhvāñ din lagātār hai
jab qazā baal khole hue hospital ke har ward meñ raqs kartī huī
aur bhayānak hañsī ḳhauf se kāñptī zindagī ke qarīb aa ke hañstī huī
chaudhvāñ din lagātār hai
dard se chhaTpaTāte hue darjanoñ log is hospital meñ aate hue
chaudhvāñ din lagātār hai
darjanoñ log tābūt meñ hospital se jaate hue
chaudhwan din lagatar hai
Doctron ki ye aankhon ko paDhte hue
na-umidi ke pare ko chaDhte hue
chaudhwan din hai aankhen bina mask ke
ek insan bhi dekhne ko tarasti hui
chaudhwan din lagatar hai
lal nili dawaen lahu mein musalsal utarti huin
chaudhwan din lagatar hai
jab azizon ki aawaz kanon mein aai nahin
chaudhwan din lagatar hai
jab kisi ne bhi ghar ki bani chiz koi bhi khai nahin
chaudhwan din lagatar hai
jab qaza baal khole hue hospital ke har ward mein raqs karti hui
aur bhayanak hansi KHauf se kanpti zindagi ke qarib aa ke hansti hui
chaudhwan din lagatar hai
dard se chhaTpaTate hue darjanon log is hospital mein aate hue
chaudhwan din lagatar hai
darjanon log tabut mein hospital se jate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.