aaKHiri KHat
mirī ardhāñginī
merī shahādat kī ḳhabar sun kar
tum apnī zulf se kahnā ki ab kaalī ghaTā ho jā
gire bijlī pe bijlī dushmanoñ par ik qazā ho jā
suhāgan chūḌiyoñ ko toḌ kar ik bam meñ bhar denā
aur apnī maañg ke sindūr ko bārūd kar lenā
raziyya kī tarah tum sūñtnā talvār dushman par
uḌānā dushmanoñ ke sar ko tum durgāvatī ban kar
tum apnī āñkhoñ se aañsū nahīñ angār barsānā
koī sūrat na ho to
aag meñ jauhar kī jal jaanā
mujhe vishvās hai tum par ki jīvan-sanginī ho tum
tum apnī aan ko jaane na dogī padmanī ho tum
meri ardhangini
meri shahadat ki KHabar sun kar
tum apni zulf se kahna ki ab kali ghaTa ho ja
gire bijli pe bijli dushmanon par ek qaza ho ja
suhagan chuDiyon ko toD kar ek bam mein bhar dena
aur apni mang ke sindur ko barud kar lena
raziyya ki tarah tum suntna talwar dushman par
uDana dushmanon ke sar ko tum durgawati ban kar
tum apni aankhon se aansu nahin angar barsana
koi surat na ho to
aag mein jauhar ki jal jaana
mujhe wishwas hai tum par ki jiwan-sangini ho tum
tum apni aan ko jaane na dogi padmani ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.