aaKHiri khilaune ka matam
maiñ sautelā beTā
apne baap kī tīsrī biivī kā
in tīnoñ meñ
pahle merī maañ aa.ī
phir maiñ aayā
leTā baiThā
khaḌā huā dīvār pakaḌ kar
chalnā jab aayā to maañ ko rog lagā
mere khilaune
saste aur miTTī ke the
sab TuuT ga.e
baarī baarī sab kī ḳhātir royā maiñ
lekin maañ ke marne par
maiñ royā nahīñ
TuuTā thā
aur bikhrā thā
jaise mere khilaune TuuTe bikhre the
merā bachpan
merā āḳhirī khilaunā thā
jis kī kircheñ
ab bhī mujh meñ chubhtī haiñ
aur TūTne kī āvāzeñ
gūñjtī haiñ
main sautela beTa
apne bap ki tisri biwi ka
in tinon mein
pahle meri man aai
phir main aaya
leTa baiTha
khaDa hua diwar pakaD kar
chalna jab aaya to man ko rog laga
mere khilaune
saste aur miTTi ke the
sab TuT gae
bari bari sab ki KHatir roya main
lekin man ke marne par
main roya nahin
TuTa tha
aur bikhra tha
jaise mere khilaune TuTe bikhre the
mera bachpan
mera aaKHiri khilauna tha
jis ki kirchen
ab bhi mujh mein chubhti hain
aur TuTne ki aawazen
gunjti hain
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 126)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.