aaKHiri KHwahish
saiñkaḌoñ baar yahī dil meñ ḳhayāl aaya hai
maiñ tirī raah meñ gul ban ke bikhar saktī thī
terī āñkhoñ ke samundar se guzar saktī thī
terī rag rag meñ lahū ban ke utar saktī thī
merī maġhrūr tabī.at ne magar
aisā hone na diyā
aur ab sochtī huuñ
kaash ho jaa.e yūñhī
maiñ tirī rāhguzar kā koī kāñTā ban jā.ūñ
aur jab tū kisī rangīn tasavvur meñ magan
be-ḳhayālī meñ mujhe rauñd ke aage baḌh jaa.e
tere talvoñ meñ chubhūñ
tere lahū meñ mil jā.ūñ
sainkaDon bar yahi dil mein KHayal aaya hai
main teri rah mein gul ban ke bikhar sakti thi
teri aankhon ke samundar se guzar sakti thi
teri rag rag mein lahu ban ke utar sakti thi
meri maghrur tabiat ne magar
aisa hone na diya
aur ab sochti hun
kash ho jae yunhi
main teri rahguzar ka koi kanTa ban jaun
aur jab tu kisi rangin tasawwur mein magan
be-KHayali mein mujhe raund ke aage baDh jae
tere talwon mein chubhun
tere lahu mein mil jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.