aaKHiri KHwahish
thī ḳhvāhish kisī kī
ki maiñ zindagī kā
aham vāqi.a
koī chun kar sunā.ūñ
merī fikr ne jab idhar ruḳh kiyā to
ye paayā ki
mushkil baḌī hai
ki ye zindagī to
aham vāqi.oñ kī
musalsal kaḌī hai
idhar bhī juḌī hai
udhar bhī juḌī hai
isī fikr meñ maiñ paḌī rah ga.ī ki
uThā.ūñ kidhar se
aham vāqi.a ik
tasalsul ko is ke
kidhar se maiñ toḌūñ
agar toḌ bhī duuñ
to phir kaise joḌūñ
shurūa kī kaḌī to bahut hī aham thī
use chhū ke dekhā to bilkul narm thī
abhī darmiyāñ tak maiñ
pahuñchī nahīñ thī
ki rangīn kaḌiyāñ
khanakne lagīñ ḳhud
mujhe chhū ke dekho
mujhe chuum lo tum
ki mujh se aham
kuchh nahīñ zindagī meñ
ajab mo.ajiza thā ki
kaḌiyāñ sabhī vo
na āñchal se uljhīñ
na Thahrīñ kahīñ bhī
guzartī rahīñ aur
guzarne se pahle
hasīñ rang apne
atā kar ke mujh ko
mirī hī kalā.ī meñ
ban ban ke kañgan
khanakne lagī thiiñ
tasalsul magar un kā TuuTā nahīñ thā
koī rang bhī un kā jhūTā nahīñ thā
abhī tak to un ko
sañbhāle sañbhāle
guzartī rahī maiñ
sirā āḳhirī jab
mire haath meñ hai
to jī chāhtā hai
mujhe thaam le vo
merī sust-raftāriyoñ ke muqābil
agar vo Thahar na sake
to mirā saath dene kī ḳhātir
vo itnā to kar de
ki mere guzarne se pahle
mirā vaqt aane se pahle
baḌhe
aur
mujhe qaid kar le
thi KHwahish kisi ki
ki main zindagi ka
aham waqia
koi chun kar sunaun
meri fikr ne jab idhar ruKH kiya to
ye paya ki
mushkil baDi hai
ki ye zindagi to
aham waqion ki
musalsal kaDi hai
idhar bhi juDi hai
udhar bhi juDi hai
isi fikr mein main paDi rah gai ki
uThaun kidhar se
aham waqia ek
tasalsul ko is ke
kidhar se main toDun
agar toD bhi dun
to phir kaise joDun
shurua ki kaDi to bahut hi aham thi
use chhu ke dekha to bilkul narm thi
abhi darmiyan tak main
pahunchi nahin thi
ki rangin kaDiyan
khanakne lagin KHud
mujhe chhu ke dekho
mujhe chum lo tum
ki mujh se aham
kuchh nahin zindagi mein
ajab moajiza tha ki
kaDiyan sabhi wo
na aanchal se uljhin
na Thahrin kahin bhi
guzarti rahin aur
guzarne se pahle
hasin rang apne
ata kar ke mujh ko
meri hi kalai mein
ban ban ke kangan
khanakne lagi thin
tasalsul magar un ka TuTa nahin tha
koi rang bhi un ka jhuTa nahin tha
abhi tak to un ko
sanbhaale sanbhaale
guzarti rahi main
sira aaKHiri jab
mere hath mein hai
to ji chahta hai
mujhe tham le wo
meri sust-raftariyon ke muqabil
agar wo Thahar na sake
to mera sath dene ki KHatir
wo itna to kar de
ki mere guzarne se pahle
mera waqt aane se pahle
baDhe
aur
mujhe qaid kar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.