aaKHiri KHwahish
TuuTī huī botal kī tarah
be-kār be-maqsad
zindagī ke taaq meñ
rakkhā huā huuñ maiñ
vo kaun thā jo chhoḌ gayā
mere vajūd ke shīshe par
apnī lahū rañg yādoñ ke
nishāñ
us se pahle ki bārish
un nishānāt ko dho Daale
maiñ reza reza ho jā.ūñ
farsh par bikhar jā.ūñ
vaqt ke pairoñ meñ chubh jā.ūñ
farsh zamīñ ko rañgīñ kar duuñ
aur ḳhud bhī rañgīñ ho jā.ūñ
TuTi hui botal ki tarah
be-kar be-maqsad
zindagi ke taq mein
rakkha hua hun main
wo kaun tha jo chhoD gaya
mere wajud ke shishe par
apni lahu rang yaadon ke
nishan
us se pahle ki barish
un nishanat ko dho Dale
main reza reza ho jaun
farsh par bikhar jaun
waqt ke pairon mein chubh jaun
farsh zamin ko rangin kar dun
aur KHud bhi rangin ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.