aaKHiri kos
āḳhirī kos mujhe aaj hī tai karnā hai
aur is lambe safar kā ye kaḌā kos mujhe
is qadar lambā baḌhānā hai ki ab se pahle
jo bhī kuchh guzrā hai maazī meñ use phir ik baar
hāzir-o-nāzir-o-maujūd sā maiñ jhel sakūñ
arsa-e-ġhā.ib-o-ma.adūm se is lamhe tak
vādiyāñ jharne charāgāheñ maveshī panchhī
khet khaliyān chhapar-khaT mire ghar kā dālān
gaañv kī galiyāñ makāñ log dukāneñ bāzār
aur phir shahr kī saḌkeñ basoñ caroñ kā shor
umr baḌhtī huī bachpan se laḌakpan kī taraf
aur laḌakpan kī vo nā-puḳhta bulūġhat jis meñ
mujh ko ehsās huā thā ki koī aur bhī hai
zindagī saarī jise saath mire chalnā hai
kaisā shorīda-sar tūfān thā tuġhyānī thī
jis ne ik bāvle insān ko be-rahmī se
duur anjāne se pardes meñ lā paTḳhā thā
aur phir pā-ba-rikāb aage hī aage kī taraf
sar pe sāmān uThā.e hue banjāroñ sā
DanDī pagDanDī saḌak naql-o-hamal harkat-o-kūch
kaisī āyand-vurūd thī ye muhim jo hijrat
jis meñ sīmāb qadam chaltā rahā huuñ barsoñ
ek kos aur mujhe aaj kī shab chalnā hai
aur is raat faqat apnī hī sohbat meñ agar
jo bhī maiñ bhog chukā huuñ use sahbā kī tarah
āḳhirī kos ke is jaam meñ bhar kar ānand
ek lamha bhī tavaqquf na karūñ haath meñ luuñ
aur ik ghūñT maiñ pī jā.ūñ to merā ye safar
surḳh-rūī se mukammal ho mujhe sair kare
āḳhirī kos mujhe aaj hī tai karnā hai
aaKHiri kos mujhe aaj hi tai karna hai
aur is lambe safar ka ye kaDa kos mujhe
is qadar lamba baDhana hai ki ab se pahle
jo bhi kuchh guzra hai mazi mein use phir ek bar
hazir-o-nazir-o-maujud sa main jhel sakun
arsa-e-ghaib-o-madum se is lamhe tak
wadiyan jharne charagahen maweshi panchhi
khet khaliyan chhapar-khaT mere ghar ka dalan
ganw ki galiyan makan log dukanen bazar
aur phir shahr ki saDken bason caron ka shor
umr baDhti hui bachpan se laDakpan ki taraf
aur laDakpan ki wo na-puKHta bulughat jis mein
mujh ko ehsas hua tha ki koi aur bhi hai
zindagi sari jise sath mere chalna hai
kaisa shorida-sar tufan tha tughyani thi
jis ne ek bawle insan ko be-rahmi se
dur anjaane se pardes mein la paTKHa tha
aur phir pa-ba-rikab aage hi aage ki taraf
sar pe saman uThae hue banjaron sa
DanDi pagDanDi saDak naql-o-hamal harkat-o-kuch
kaisi aayand-wurud thi ye muhim jo hijrat
jis mein simab qadam chalta raha hun barson
ek kos aur mujhe aaj ki shab chalna hai
aur is raat faqat apni hi sohbat mein agar
jo bhi main bhog chuka hun use sahba ki tarah
aaKHiri kos ke is jam mein bhar kar aanand
ek lamha bhi tawaqquf na karun hath mein lun
aur ek ghunT main pi jaun to mera ye safar
surKH-rui se mukammal ho mujhe sair kare
aaKHiri kos mujhe aaj hi tai karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.