aaKHiri manzil
umr kā sailāb baḌhtā jā rahā hai dosto
vaqt kā dhārā palaT saktā nahīñ
kah rahī hai āḳhirī manzil hameñ ḳhush-āmdīd
aur ham nazreñ jhukā.e
chehra-e-tārīk aur dast-e-tahī apnā liye
rafta-rafta baḌh rahe haiñ āḳhirī manzil kī samt
umr ka sailab baDhta ja raha hai dosto
waqt ka dhaara palaT sakta nahin
kah rahi hai aaKHiri manzil hamein KHush-amdid
aur hum nazren jhukae
chehra-e-tarik aur dast-e-tahi apna liye
rafta-rafta baDh rahe hain aaKHiri manzil ki samt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.