aaKHiri mausam
zamāñ makāñ ke hazār hañgāme qalb-e-ḳhasta ko is tarah Dher kar ga.e haiñ
ki jaise ik ḳhushk ḳhushk patte kī kapkapātī huī ragoñ se
chipak rahī ho tamām māhaul ke manāzir kī māñdgī bhī
har ek jhoñke kī ḳhastagī bhī
ye ḳhushk patta
havā ke mab.hūt dā.eroñ meñ zamīn se sar paTak ke apnī tamām rañgat badal chukā hai
ab ek patthar ke yaḳh-zada aur siyāh siine pe aa ke behosh ho gayā hai
maiñ qalb-e-ḳhasta ko le ke sañgīn daur ke farsh par paḌā huuñ
magar yakāyak kuchh aise chauñkāyā qalb-e-ḳhasta ko ek ḳhvāb-e-hasīñ ne aa kar
ki jaise bārish kā pahlā qatra
kuchh itnī shiddat se ḳhushk patte pe aa gire us ko toḌ Daale
zaman makan ke hazar hangame qalb-e-KHasta ko is tarah Dher kar gae hain
ki jaise ek KHushk KHushk patte ki kapkapati hui ragon se
chipak rahi ho tamam mahaul ke manazir ki mandgi bhi
har ek jhonke ki KHastagi bhi
ye KHushk patta
hawa ke mabhut daeron mein zamin se sar paTak ke apni tamam rangat badal chuka hai
ab ek patthar ke yaKH-zada aur siyah sine pe aa ke behosh ho gaya hai
main qalb-e-KHasta ko le ke sangin daur ke farsh par paDa hun
magar yakayak kuchh aise chaunkaya qalb-e-KHasta ko ek KHwab-e-hasin ne aa kar
ki jaise barish ka pahla qatra
kuchh itni shiddat se KHushk patte pe aa gire us ko toD Dale
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 119)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.