aaKHiri nazm
biivī mujh se kahtī hai
saarā din leTe rahne
aur nazmeñ likhne se
ghar kaise chalegā
nazmeñ roTiyāñ to nahīñ
ki bachchoñ kā peT bhar sakeñ
tum to apnā peT
shā.erī kī talvār se kaaT kar
mustaqbil kī khūñTī se laTkā chuke ho
lekin hamāre peT itne shā.irāna nahīñ
sochtā huuñ
biivī Thiik kahtī hai
nazmeñ to ġhaib se utar aatī haiñ
lekin roTiyāñ ġhaib ke tannūr meñ nahīñ paktīñ
vaise bhī shā.erī ko zinda rakhne ke liye
peT par roTī bhāñdhnī zarūrī hai
lekin maiñ use darḳhvāst karūñgā
vo mujhe ek nazm aur likh lene de
āḳhirī nazm
jis meñ aane vaalī kal ke liye
koī tārīf nahīñ hogī
jis meñ guzar jaane vaalī kal ke liye
koī pachhtāvā nahīñ hogā
jis meñ aaj ke kisī dukh kā
mātam nahīñ hogā
har lihāz se mukammal nazm
biwi mujh se kahti hai
sara din leTe rahne
aur nazmen likhne se
ghar kaise chalega
nazmen roTiyan to nahin
ki bachchon ka peT bhar saken
tum to apna peT
shaeri ki talwar se kaT kar
mustaqbil ki khunTi se laTka chuke ho
lekin hamare peT itne shairana nahin
sochta hun
biwi Thik kahti hai
nazmen to ghaib se utar aati hain
lekin roTiyan ghaib ke tannur mein nahin paktin
waise bhi shaeri ko zinda rakhne ke liye
peT par roTi bhandhni zaruri hai
lekin main use darKHwast karunga
wo mujhe ek nazm aur likh lene de
aaKHiri nazm
jis mein aane wali kal ke liye
koi tarif nahin hogi
jis mein guzar jaane wali kal ke liye
koi pachhtawa nahin hoga
jis mein aaj ke kisi dukh ka
matam nahin hoga
har lihaz se mukammal nazm
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 129)
- Author : Javed Shaheen
- Publication : Sang e Meel Publications, Lahore (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.