aaKHiri nazm
zamīñ
jis se mujh ko shikāyat rahī hai
ki vo sab ke hisse meñ hai kuchh na kuchh
ek mere sivā
zamīñ
jis pe rahnā hī kār-e-abas thā
vahī chhoḌnī paḌ rahī hai
to maiñ itnā ghabrā rahā huuñ
ki ab
merī yak-rañg roz aur shab
maah aur saal kī
saarī uktāhaTeñ kyā huiiñ
zamin
jis se mujh ko shikayat rahi hai
ki wo sab ke hisse mein hai kuchh na kuchh
ek mere siwa
zamin
jis pe rahna hi kar-e-abas tha
wahi chhoDni paD rahi hai
to main itna ghabra raha hun
ki ab
meri yak-rang roz aur shab
mah aur sal ki
sari uktahaTen kya huin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.