aaKHiri nind
ye raat bhar kaun merī āñkhoñ meñ jāgtā hai
ye kis kī aahaT kī justujū meñ tamām raste malūl-o-be-ḳhvāb ho ga.e haiñ
abad ke darbān ne umīdoñ ke dar pe taalā lagā diyā hai
ye merī rāteñ ye merī āñkheñ ye mere aañsū ka.ī ka.ī maah ke musalsal jage hue haiñ
maiñ thak chukā huuñ
so ai mire ghar ke saare darvāzo aur darīcho
suno agar vo kabhī bhī aa.e to dhyān rakhnā
mujhe bahut niiñd aa rahī hai
maiñ ab ke soyā to phir kabhī bhī nahīñ jagūñgā
ye raat bhar kaun meri aankhon mein jagta hai
ye kis ki aahaT ki justuju mein tamam raste malul-o-be-KHwab ho gae hain
abad ke darban ne umidon ke dar pe tala laga diya hai
ye meri raaten ye meri aankhen ye mere aansu kai kai mah ke musalsal jage hue hain
main thak chuka hun
so ai mere ghar ke sare darwazo aur daricho
suno agar wo kabhi bhi aae to dhyan rakhna
mujhe bahut nind aa rahi hai
main ab ke soya to phir kabhi bhi nahin jagunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.