aaKHiri paDaw
shāyad merī zamīn
apne safar ke āḳhirī paḌāv se aage nikal chukī hai
manzil par jalte hue falak-bos alaav kī hiddat kuchh itnī tez hai
ki daraḳhtoñ ke jaḌoñ se le kar
shāḳhoñ ke saroñ par aane vaalā baur tak
pasīne aur garmī se haañp rahā hai
vaqt kī kaThalī meñ ubalte hue hālāt ke saath
ab ke kisī aql-mand ne havā ke haath par rakkhe hue
tamām mausam bhī uThā kar Daal diye haiñ
mujhe yaad hai ki shu.ūr kī pahlī sīḌhiyoñ par paañv rakhte hī
kis asbiyyatī lamhe ne
mere kānoñ meñ sargoshī kī thī
ki tum apne baap kī paidā.ish se bhī bahut pahle girvī rakh diye ga.e the
maiñ us din se le kar aaj tak bahī-khātoñ ke
qarz vaale ḳhāne se nahīñ nikal sakā
aur mere hāthoñ meñ itnī be-iḳhtiyārī bhar dī ga.ī hai
ki mere ghar ke darvāze kī chābiyāñ har roz phisaltī huī
merī uñglī kī āḳhirī por par aa jaatī haiñ
aur maiñ dahshatnāk āñkhoñ se ḳhalā meñ dekhne lagtā huuñ
ki jaise duur ġhulāmī ke siyāh manzar
aadhe se zyāda darsī kitāboñ se bāhar nikal aa.e haiñ
ḳhauf ke lambe nāḳhunoñ ne ḳhāk-zādoñ ke badan kī miTTī aise khurach dī hai
jaise makānoñ kī dīvāroñ kā kachchā rañg
tez bārishoñ meñ utar kar nāliyoñ meñ bah jaatā hai
gharoñ mohalloñ aur saḌkoñ par nādīda dīvāreñ itnī ūñchī uThā dī ga.ī haiñ
ki ham ikaTThe rahte hue ek saath chalte hue bhī
ek dūsre ko dekh nahīñ sakte
aur kyā kahūñ ki is saal dekhne sunñe aur bolne par bhī namkīñ lagā diyā gayā
jaise ham sab apne apne badan meñ tanhā kar ke maar diye jā.eñge
vo ahd zyāda duur nahīñ
jab hameñ koī nasl mohanjodḌo aur haḌappā kī tarah daryāft karegī
soch rahā huuñ ki hameñ kitne fiT gahrā khod kar nikālā jā.egā
aur phir museum meñ rakhī huī shīshe kī almāriyoñ meñ
purānī haDDiyoñ ke nīche ye tahrīr jab koī sayyāh rakh kar paḌhegā
ki ye is daur kā insān thā jab taraqqī apne nuqta uruuj se bhī aage thī
magar ta.alīm-yāfta is ma.āshre ke log ġhāroñ meñ rahne vāloñ se zyāda tahzīb-yāfta the
ye ek shā.er thā
jo ehsās kī qabr meñ
apnī maut se pahle dafn kar diyā gayā
shayad meri zamin
apne safar ke aaKHiri paDaw se aage nikal chuki hai
manzil par jalte hue falak-bos alaw ki hiddat kuchh itni tez hai
ki daraKHton ke jaDon se le kar
shaKHon ke saron par aane wala baur tak
pasine aur garmi se hanp raha hai
waqt ki kaThali mein ubalte hue haalat ke sath
ab ke kisi aql-mand ne hawa ke hath par rakkhe hue
tamam mausam bhi uTha kar Dal diye hain
mujhe yaad hai ki shuur ki pahli siDhiyon par panw rakhte hi
kis asbiyyati lamhe ne
mere kanon mein sargoshi ki thi
ki tum apne bap ki paidaish se bhi bahut pahle girwi rakh diye gae the
main us din se le kar aaj tak bahi-khaton ke
qarz wale KHane se nahin nikal saka
aur mere hathon mein itni be-iKHtiyari bhar di gai hai
ki mere ghar ke darwaze ki chabiyan har roz phisalti hui
meri ungli ki aaKHiri por par aa jati hain
aur main dahshatnak aankhon se KHala mein dekhne lagta hun
ki jaise dur ghulami ke siyah manzar
aadhe se zyaada darsi kitabon se bahar nikal aae hain
KHauf ke lambe naKHunon ne KHak-zadon ke badan ki miTTi aise khurach di hai
jaise makanon ki diwaron ka kachcha rang
tez barishon mein utar kar naliyon mein bah jata hai
gharon mohallon aur saDkon par nadida diwaren itni unchi uTha di gai hain
ki hum ikaTThe rahte hue ek sath chalte hue bhi
ek dusre ko dekh nahin sakte
aur kya kahun ki is sal dekhne sunne aur bolne par bhi namkin laga diya gaya
jaise hum sab apne apne badan mein tanha kar ke mar diye jaenge
wo ahd zyaada dur nahin
jab hamein koi nasl mohanjodDo aur haDappa ki tarah daryaft karegi
soch raha hun ki hamein kitne fiT gahra khod kar nikala jaega
aur phir museum mein rakhi hui shishe ki almariyon mein
purani haDDiyon ke niche ye tahrir jab koi sayyah rakh kar paDhega
ki ye is daur ka insan tha jab taraqqi apne nuqta uruj se bhi aage thi
magar talim-yafta is maashre ke log ghaaron mein rahne walon se zyaada tahzib-yafta the
ye ek shaer tha
jo ehsas ki qabr mein
apni maut se pahle dafn kar diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.